Gum-shuda Aadmi Ka Intizar, Urdu Nazam By Chandrabhan Khayal

Gum-shuda Aadmi Ka Intizar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Chandrabhan Khayal. Gum-shuda Aadmi Ka Intizar comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Gum-shuda Aadmi Ka Intizar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گمشدہ آدمی کا انتظار

چندر بھان خیال

لہو نوش لمحوں کے بیدار سائے

اسے گھیر لیں گے سنانیں اٹھائے

تمازت زدہ شب زن باکرہ سی

سمٹ جائے گی اور بھی اپنے تن میں

وہ سورج کا ساتھی اندھیروں کے بن میں

اثاثہ لیے فکر کا اپنے فن میں

شعاعوں کی سولی پہ زندہ ٹنگا ہے

نہ اب شہر میں کوئی اتنا حزیں ہے

غضب ناک تنہائیوں کو یقیں ہے

کہ اس کے مقدر میں وہ خود نہیں ہے

وہ اک انفرادی حقیقت کا حامی

فصیلوں پہ وہم و گماں کی کھڑا ہے

شہر زاد شبنم سے یہ پوچھتا ہے

کہ سورج کے سینے میں کیا کیا چھپا ہے

مگر شام کی سرخ آنکھوں نے اس پر

ہمیشہ سلگتی ہوئی راکھ ڈالی

تہہ آتش سرخ رو وہ سوالی

کہ جس نے ہتھیلی پہ سرسوں جما لی

کسی دیوتا کی نگاہ غضب سے

بنا اجنبی اپنے آباد گھر میں

کبھی اس نگر میں کبھی اس نگر میں

کبھی بس گیا صرف دیوار و در میں

وہ اک شخص تنہا کہ جس کا ابھی تک

سفر ہے مسلسل نہ گھر مستقل ہے

فقط پاس میں اس کے معصوم دل ہے

مگر کس قدر مضطرب مضمحل ہے

جو شہر انا میں کھڑا سوچتا ہے

کہاں رات کاٹے کہاں دن بتائے

ہتھیلی پہ دنیا کا نقشہ بنائے

بھٹکتا ہے وہ آج بھی چوٹ کھائے

ارے گم شدہ آدمی آ کے مل جا

ارے گم شدہ آدمی آ کے مل جا

چندر بھان خیال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gum-shuda Aadmi Ka Intizar

Chandrabhan Khayal

lahu-nosh lamhon ke bedar sae
use gher lenge sinanen uThae
tamazat-zada shab zan-e-bakara si
simaT jaegi aur bhi apne tan mein

wo suraj ka sathi andheron ke ban mein
asasa liye fikr ka apne fan mein
shuaon ki suli pe zinda Tanga hai
na ab shahr mein koi itna hazin hai

ghazabnak tanhaiyon ko yaqin hai
ki us ke muqaddar mein wo KHud nahin hai
wo ek infiradi haqiqat ka hami
fasilon pe wahm-o-guman ki khaDa hai

shahr-zad shabnam se ye puchhta hai
ki suraj ke sine mein kya kya chhapa hai
magar sham ki surKH aankhon ne is par
hamesha sulagti hui rakh Dali

tah-e-atish-e-sruKH-ru wo sawali
ki jis ne hatheli pe sarson jama li
kisi dewta ki nigah-e-ghazab se
bana ajnabi apne aabaad ghar mein

kabhi is nagar mein kabhi us nagar mein
kabhi bas gaya sirf diwar-o-dar mein
wo ek shaKHs tanha ki jis ka abhi tak
safar hai musalsal na ghar mustaqil hai

faqat pas mein us ke masum dil hai
magar kis qadar muztarib muzmahil hai
jo shahr-e-ana mein khaDa sochta hai
kahan raat kaTe kahan din bitae

hatheli pe duniya ka naqsha banae
bhaTakta hai wo aaj bhi choT khae
are gum-shuda aadmi aa ke mil ja
are gum-shuda aadmi aa ke mil ja

(742) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gum-shuda Aadmi Ka Intizar written by Chandrabhan Khayal at UrduPoint. Gum-shuda Aadmi Ka Intizar is one of the masterpieces written by Chandrabhan Khayal. You can also find the complete poetry collection of Chandrabhan Khayal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Chandrabhan Khayal' above.

Gum-shuda Aadmi Ka Intizar is a widely read Urdu Nazam. If you like Gum-shuda Aadmi Ka Intizar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.