Ilm Aur Jahaalat, Urdu Nazam By Faiz Ludhianvi

Ilm Aur Jahaalat is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Faiz Ludhianvi. Ilm Aur Jahaalat comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ilm Aur Jahaalat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

علم اور جہالت

فیض لدھیانوی

وہ بشر جو پڑھ کے بھی کہتا ہو یوں

بن کے طالب اور کچھ حاصل کروں

کوئی شک اس کی فضیلت میں نہیں

اس کا رتبہ ہے فرشتوں سے فزوں

وہ بشر کچھ بھی نہ آتا ہو جسے

لیکن اس کو شوق ہو عالم بنوں

اپنی بے علمی کا اس کو علم ہے

نا مناسب ہے اسے جاہل گنوں

وہ بشر جو ہو نرا احمق مگر

خود سمجھتا ہو کہ دانش‌‌ مند ہوں

موت ہے اس کی حماقت کا علاج

وہ رہے گا عمر بھر خوار و زبوں

ہر بشر اے فیضؔ یہ کوشش کرے

جس طرح بھی ہو جہالت سے بچوں

فیض لدھیانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ilm Aur Jahaalat

Faiz Ludhianvi

wo bashar jo paDh ke bhi kahta ho yun
ban ke talib aur kuchh hasil karun
koi shak us ki fazilat mein nahin
us ka rutba hai farishton se fuzun
wo bashar kuchh bhi na aata ho jise
lekin us ko shauq ho aalim banun
apni be-ilmi ka us ko ilm hai
na-munasib hai use jahil ginun
wo bashar jo ho nira ahmaq magar
KHud samajhta ho ki danish-mand hun
maut hai us ki himaqat ka ilaj
wo rahega umr bhar KHwar-o-zabun
har bashar ai 'faiz' ye koshish kare
jis tarah bhi ho jahaalat se bachun

(680) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ilm Aur Jahaalat written by Faiz Ludhianvi at UrduPoint. Ilm Aur Jahaalat is one of the masterpieces written by Faiz Ludhianvi. You can also find the complete poetry collection of Faiz Ludhianvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faiz Ludhianvi' above.

Ilm Aur Jahaalat is a widely read Urdu Nazam. If you like Ilm Aur Jahaalat, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.