Talwar Aur Qalam, Urdu Nazam By Faiz Ludhianvi

Talwar Aur Qalam is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Faiz Ludhianvi. Talwar Aur Qalam comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Talwar Aur Qalam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تلوار اور قلم

فیض لدھیانوی

تیز سی تلوار سادہ سا قلم

بس یہی دو طاقتیں ہیں بیش و کم

ایک ہے جنگی شجاعت کا نشاں

ایک ہے علمی لیاقت کا نشاں

آدمی کی زندگی دونوں سے ہے

قوم کی تابندگی دونوں سے ہے

جو نہیں ڈرتے قلم کی مار سے

زیر کرتے ہیں انہیں تلوار سے

جب قلم پاتا نہیں کوئی سبیل

اس گھڑی تلوار ہے روشن دلیل

حکمرانی کو قلم درکار ہے

امن کی ضامن مگر تلوار ہے

علم کے میدان میں رازیؔ بنو

جنگ کے میدان میں غازی بنو

وقت پر مضمون لکھو زور دار

وقت پر ڈٹ کر لڑو مردانہ وار

وہ پڑھے لکھے جو بے تلوار ہیں

ان کی ساری ڈگریاں بیکار ہیں

بزم میں اشعار کے گوہر مفید

رزم میں تلوار کے جوہر مفید

آج تک جو بھی ہوا ہے با وقار

تھا کوئی جرنیل یا مضموں نگار

فیضؔ کو جتنا قلم سے پیار ہے

اتنی ہی پیاری اسے تلوار ہے

فیض لدھیانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Talwar Aur Qalam

Faiz Ludhianvi

tez si talwar sada sa qalam
bas yahi do taqaten hain besh-o-kam
ek hai jangi shujaat ka nishan
ek hai ilmi liyaqat ka nishan
aadmi ki zindagi donon se hai
qaum ki tabindagi donon se hai
jo nahin Darte qalam ki mar se
zer karte hain unhen talwar se
jab qalam pata nahin koi sabil
us ghaDi talwar hai raushan dalil
hukmrani ko qalam darkar hai
amn ki zamin magar talwar hai
ilm ke maidan mein 'raazi' bano
jang ke maidan mein ghazi bano
waqt par mazmun likkho zor-dar
waqt par DaT kar laDo mardana-war
wo paDhe likkhe jo be-talwar hain
un ki sari Digriyan be-kar hain
bazm mein ashaar ke gauhar mufid
razm mein talwar ke jauhar mufid
aaj tak jo bhi hua hai ba-waqar
tha koi jarnail ya mazmun-nigar
'faiz' ko jitna qalam se pyar hai
utni hi pyari use talwar hai

(1439) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Talwar Aur Qalam written by Faiz Ludhianvi at UrduPoint. Talwar Aur Qalam is one of the masterpieces written by Faiz Ludhianvi. You can also find the complete poetry collection of Faiz Ludhianvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faiz Ludhianvi' above.

Talwar Aur Qalam is a widely read Urdu Nazam. If you like Talwar Aur Qalam, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.