Badi Ka Anjam, Urdu Nazam By Faizi Fatehabadi

Badi Ka Anjam is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Faizi Fatehabadi. Badi Ka Anjam comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Badi Ka Anjam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بدی کا انجام

ضیا فتیح آبادی

بنایا تھا چڑیا نے اک گھونسلہ

کہ وہ ایک گھر کے تھا چھت میں بنا

ہوئے ایک بار اس کے بچے وہاں

کھلاتی غذا لا کے بچوں کو ماں

وہ بہر غذا تھی کسی دن گئی

پریشاں ہوئی جب وہ واپس ہوئی

کہ بچے تو ہیں لیکن آفت یہ تھی

کہ بیٹھا ہے بچوں میں اک سانپ بھی

پریشان اور مضطرب ہو گئی

بہت آہ زاری سے فریاد کی

مگر سانپ بچوں کو کھانے لگا

تو اس نے بہت منتوں سے کہا

جو تو کر رہا ہے یہ حرکت بری

ضرور انتقام اس کا لوں گی کبھی

سنی جب کہ یہ سانپ نے گفتگو

لگا کہنے ہنس کر ستائے گی تو

وہ ہوں میں بہادر کہ ڈرتا ہے شیر

کرے گی بھلا تو مجھے کیسے زیر

غرض دونوں بچوں کو وہ کھا گیا

شکم سیر ہو کر وہیں سو رہا

یہ دیکھا جو چڑیا نے آنکھوں سے حال

تو پھر سانپ پر غصہ آیا کمال

جدائی میں بچوں کے روتی رہی

وہ اس رنج میں جان کھوتی رہی

ہوئی شب چراغوں میں بتی پڑی

تو جلتی ہوئی بتی لے کر اڑی

جہاں سانپ تھا چھت میں سویا ہوا

وہاں اس نے بتی کو اب رکھ دیا

جو لوگوں نے دیکھا تو گھبرا گئے

کہ ایسا نہ ہو آگ چھت میں لگے

کوئی آدمی جلد چھت پر چڑھا

لگا صاف کرنے وہ جب گھونسلہ

وہاں اس نے دیکھا کہ ہے ایک مار

تو فوراً ہی لٹھ سے دیا اس کو مار

ہے فیضیؔ یہ ضرب المثل مستند

بدی کا ہمیشہ ہے انجام بد

ضیا فتیح آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Badi Ka Anjam

Faizi Fatehabadi

banaya tha chiDiya ne ek ghonsla
ki wo ek ghar ke tha chhat mein bana
hue ek bar us ke bachche wahan
khilati ghiza la ke bachchon ko man
wo bahr-e-ghiza thi kisi din gai
pareshan hui jab wo wapas hui
ki bachche to hain lekin aafat ye thi
ki baiTha hai bachchon mein ek sanp bhi
pareshan aur muztarib ho gai
bahut aah-zari se fariyaad ki
magar sanp bachchon ko khane laga
to us ne bahut minnaton se kaha
jo tu kar raha hai ye harakat buri
zarur intiqam is ka lungi kabhi
suni jab ki ye sanp ne guftugu
laga kahne hans kar sataegi tu
wo hun main bahadur ki Darta hai sher
karegi bhala tu mujhe kaise zer
gharaz donon bachchon ko wo kha gaya
shikam-ser ho kar wahin so raha
ye dekha jo chiDiya ne aankhon se haal
to phir sanp par ghussa aaya kamal
judai mein bachchon ke roti rahi
wo is ranj mein jaan khoti rahi
hui shab charaghon mein batti paDi
to jalti hui batti le kar uDi
jahan sanp tha chhat mein soya hua
wahan us ne batti ko ab rakh diya
jo logon ne dekha to ghabra gae
ki aisa na ho aag chhat mein lage
koi aadmi jald chhat par chaDha
laga saf karne wo jab ghonsla
wahan us ne dekha ki hai ek mar
to fauran hi laTh se diya us ko mar
hai 'faizi' ye zarbul-masal mustanad
badi ka hamesha hai anjam bad

(879) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Badi Ka Anjam written by Faizi Fatehabadi at UrduPoint. Badi Ka Anjam is one of the masterpieces written by Faizi Fatehabadi. You can also find the complete poetry collection of Faizi Fatehabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faizi Fatehabadi' above.

Badi Ka Anjam is a widely read Urdu Nazam. If you like Badi Ka Anjam, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.