Shauq-e-KHwabida Wo Bedar Bhi Kar Deta Hai, Urdu Ghazal By Fareed Parbati

Shauq-e-KHwabida Wo Bedar Bhi Kar Deta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Fareed Parbati. Shauq-e-KHwabida Wo Bedar Bhi Kar Deta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shauq-e-KHwabida Wo Bedar Bhi Kar Deta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شوق خوابیدہ وہ بیدار بھی کر دیتا ہے

فرید پربتی

شوق خوابیدہ وہ بیدار بھی کر دیتا ہے

ہوس زیست سے سرشار بھی کر دیتا ہے

حسن بے داغ کی بس ایک جھلک دکھلا کر

واقف لذت تکرار بھی کر دیتا ہے

پہلے وہ ڈالتا ہے آگ کے دریاؤں میں

پھر اسی آگ کو گلزار بھی کر دیتا ہے

رات بھر کرتا ہے وہ دن کے نکلنے کی دعا

صبح دم روشنی مسمار بھی کر دیتا ہے

قصۂ عفو و گزارش کے تسلسل کے لئے

بے خطاؤں کو خطا کار بھی کر دیتا ہے

خود ہی رکھتا ہے دیے تیز ہوا کی زد پر

اور آندھی سے خبردار بھی کر دیتا ہے

کبھی سکھلاتا ہے وہ صلح و صفائی کے ہنر

کبھی خود برسر پیکار بھی کر دیتا ہے

کبھی کرتا ہے نچھاور مری راہوں میں پھول

وقت مل جائے تو پر خار بھی کر دیتا ہے

انکساری کے سبھی راز بتا کر مجھ کو

یک بیک مائل پندار بھی کر دیتا ہے

پہلے کرتا ہے وہ آمادہ گناہوں پہ فریدؔ

پھر اس اک بات کا اظہار بھی کر دیتا ہے

فرید پربتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shauq-e-KHwabida Wo Bedar Bhi Kar Deta Hai

Fareed Parbati

shauq-e-KHwabida wo bedar bhi kar deta hai
hawas-e-zist se sarshaar bhi kar deta hai

husn-e-be-dagh ki bas ek jhalak dikhla kar
waqif-e-lazzat-e-takrar bhi kar deta hai

pahle wo Dalta hai aag ke dariyaon mein
phir usi aag ko gulzar bhi kar deta hai

raat bhar karta hai wo din ke nikalne ki dua
subh-dam raushni mismar bhi kar deta hai

qissa-e-afw-o-guzarish ke tasalsul ke liye
be-KHataon ko KHata-kar bhi kar deta hai

KHud hi rakhta hai diye tez hawa ki zad par
aur aandhi se KHabar-dar bhi kar deta hai

kabhi sikhlata hai wo sulh-o-safai ke hunar
kabhi KHud barsar-e-paikar bhi kar deta hai

kabhi karta hai nichhawar meri rahon mein phul
waqt mil jae to pur-KHar bhi kar deta hai

inkisari ke sabhi raaz bata kar mujh ko
yak-ba-yak mail-e-pindar bhi kar deta hai

pahle karta hai wo aamada gunahon pe 'farid'
phir us ek baat ka izhaar bhi kar deta hai

(729) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shauq-e-KHwabida Wo Bedar Bhi Kar Deta Hai written by Fareed Parbati at UrduPoint. Shauq-e-KHwabida Wo Bedar Bhi Kar Deta Hai is one of the masterpieces written by Fareed Parbati. You can also find the complete poetry collection of Fareed Parbati by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Fareed Parbati' above.

Shauq-e-KHwabida Wo Bedar Bhi Kar Deta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shauq-e-KHwabida Wo Bedar Bhi Kar Deta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.