Kohar Ke Us Par, Urdu Nazam By Farrukh Zohra Gilani

Kohar Ke Us Par is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Farrukh Zohra Gilani. Kohar Ke Us Par comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Kohar Ke Us Par on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہر کے اس پار

فرخ زہرا گیلانی

کہر کے پار

اور دور کہیں

کہکشاؤں کی پیار بستی میں

چاند تاروں کی پھیلی دنیا میں

بادلوں کے رواں جزیروں میں

کون ہوگا جو رہ رہا ہوگا

گرچہ کچھ بھی نظر نہیں آتا

ہمیں پھر بھی تلاش کرنا ہے

جو کہ تیری حسین آنکھوں میں

جو کہ میرے بھی قلب مضطر میں

روز جیتا ہے روز مرتا ہے

وہی احساس کا گھنا سایہ

زندگی کے طویل رستے پر

روز گھٹتا ہے روز بڑھتا ہے

کوئی میرے قریں نہیں آتا

میری آنکھیں سراب بستی کی

ایسے لگتا ہے ہو گئیں عادی

پھر مرے دل کے پھیلے صحرا میں

ایک آہو نے اپنے زخموں سے

موسموں کے نحیف ہاتھوں سے

جنگلوں کو پیام بھیجا ہے

کہ یہ پھیلی ہوئی سیہ چادر

صرف وہم و گماں ہے کچھ بھی نہیں

آ مرے ساتھ اے مرے ہمدم

ہم بھی اس ضو فشاں ستارے کی

چند کرنوں سے اک ضیا لے کر

کہر کے پار آؤ

جا نکلیں

ڈھونڈ لیں اس سفید بستی کو

جو ہمیں خلق و پیار بھی دے گی

چین و سکھ بھی قرار بھی دے گی

اجلے سچ کا نکھار بھی دے گی

فرخ زہرا گیلانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kohar Ke Us Par

Farrukh Zohra Gilani

kohar ke par
aur dur kahin
kahkashaon ki pyar basti mein
chand taron ki phaili duniya mein
baadalon ke rawan jaziron mein
kaun hoga jo rah raha hoga
garche kuchh bhi nazar nahin aata
hamein phir bhi talash karna hai
jo ki teri hasin aankhon mein
jo ki mere bhi qalb-e-muztar mein
roz jita hai roz marta hai
wahi ehsas ka ghana saya
zindagi ke tawil raste par
roz ghaTta hai roz baDhta hai
koi mere qarin nahin aata
meri aankhen sarab basti ki
aise lagta hai ho gain aadi
phir mere dil ke phaile sahra mein
ek aahu ne apne zaKHmon se
mausamon ke nahif hathon se
jangalon ko payam bheja hai
ki ye phaili hui siyah chadar
sirf wahm-o-guman hai kuchh bhi nahin
aa mere sath ai mere hamdam
hum bhi is zau-fishan sitare ki
chand kirnon se ek ziya le kar
kohar ke par aao
ja niklen
DhunD len us safed basti ko
jo hamein KHulq-o-pyar bhi degi
chain-o-sukh bhi qarar bhi degi
ujle sach ka nikhaar bhi degi

(774) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kohar Ke Us Par written by Farrukh Zohra Gilani at UrduPoint. Kohar Ke Us Par is one of the masterpieces written by Farrukh Zohra Gilani. You can also find the complete poetry collection of Farrukh Zohra Gilani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Farrukh Zohra Gilani' above.

Kohar Ke Us Par is a widely read Urdu Nazam. If you like Kohar Ke Us Par, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.