Jahan Main Hun Wahan Haalat Ka Manzar Nahin Badla, Urdu Ghazal By G R Kanwal

Jahan Main Hun Wahan Haalat Ka Manzar Nahin Badla is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, G R Kanwal. Jahan Main Hun Wahan Haalat Ka Manzar Nahin Badla comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jahan Main Hun Wahan Haalat Ka Manzar Nahin Badla on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جہاں میں ہوں وہاں حالات کا منظر نہیں بدلا

جی آر کنول

جہاں میں ہوں وہاں حالات کا منظر نہیں بدلا

وہی ہیں چاند تارے رات کا منظر نہیں بدلا

اسی انداز سے گرتی ہے بجلی آشیانے پر

ہوا گستاخ ہے برسات کا منظر نہیں بدلا

اگر بدلا ہے کچھ کچھ جسم و جاں کا روپ باہر سے

وہی ہے روح میری ذات کا منظر نہیں بدلا

ہزاروں لوگ اب بھی ہاتھ پھیلائے ہیں سڑکوں پر

ہمارے شہر میں خیرات کا منظر نہیں بدلا

کنولؔ اک مہرباں نے دی تھی جو مجھ کو محبت میں

خدا کا شکر اس سوغات کا منظر نہیں بدلا

جی آر کنول

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jahan Main Hun Wahan Haalat Ka Manzar Nahin Badla

G R Kanwal

jahan main hun wahan haalat ka manzar nahin badla
wahi hain chand tare raat ka manzar nahin badla

usi andaz se girti hai bijli aashiyane par
hawa gustaKH hai barsat ka manzar nahin badla

agar badla hai kuchh kuchh jism-o-jaan ka rup bahar se
wahi hai ruh meri zat ka manzar nahin badla

hazaron log ab bhi hath phailae hain saDkon par
hamare shahr mein KHairaat ka manzar nahin badla

'kanwal' ek mehrban ne di thi jo mujh ko mohabbat mein
KHuda ka shukr us saughat ka manzar nahin badla

(709) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jahan Main Hun Wahan Haalat Ka Manzar Nahin Badla written by G R Kanwal at UrduPoint. Jahan Main Hun Wahan Haalat Ka Manzar Nahin Badla is one of the masterpieces written by G R Kanwal. You can also find the complete poetry collection of G R Kanwal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of G R Kanwal' above.

Jahan Main Hun Wahan Haalat Ka Manzar Nahin Badla is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jahan Main Hun Wahan Haalat Ka Manzar Nahin Badla, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.