Wajud Aur Ibn-e-adam, Urdu Nazam By Ghalib Ahmad

Wajud Aur Ibn-e-adam is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ghalib Ahmad. Wajud Aur Ibn-e-adam comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Wajud Aur Ibn-e-adam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وجود اور ابن آدم

غالب احمد

۱

ہم کسی اور ستارے سے یہاں آئے تھے

یاد رکھنا تھی یہی بات مگر بھول گئے

ہم نے جب چاند پہ رکھا تھا قدم

یاد آیا تھا ہمیں اس کا بدن

ہم مگر اپنوں کی باتوں میں مگن

وادیٔ یاد کی گہرائی میں اترے ہی نہیں

کاش اس لمحے کی آواز کو ہم سن لیتے

پھر ہمیں وقت کے چنگل سے رہائی ہوتی

غار کے پار سفیدی نہ سیاہی ہوتی

۲

زمیں کا زمانہ ہے یہ

ہم زمیں بوس ہوئے

سبز رنگوں کے سراب

نیلگوں سطح آب

ہم فلک بوس ہوئے

اور یہ بھول گئے

تھے کبھی اپنے بدن پر تیرے قدموں کے نشاں

سبز پتوں کے سوا

اور بھی رنگ تھے رنگوں سے سوا

کون سا کیف تھا ان چیزوں میں

جن کی تم روح تھے ہم پیکر تھے

نور ہو سایہ ہو کہ تاریکی ہو

لاکھ میں جسم سے اور روح سے آراستہ پیراستہ ہو کر اٹھوں

بن بھی جائے یہ زمیں

میری کرشمہ گہ آلات گری

تو مگر اور ہی کچھ چیز ہے

تو نہ نوری ہے نہ ناری ہے نہ خاک آبی

تو نہ شمسی ہے نہ ارضی ہے نہ ہے مہتابی

تو نہ مریخ سے زہرہ سے نہ سرطان سے ہے

تیرے قدموں کے نشاں اور کہیں دیکھے تھے

جسم قد شکل یہ اطوار یہ تیور تیرے

تیری بو باس لباس پھول یہ زیور تیرے

خامشی تیری یہ آواز یہ چلنا تیرا آنا جانا

یہ ستاروں کا غبار

سلسلہ ہے یہ اداؤں کا

کہ ہے جسم کے پردوں پہ تیری روح کے نغموں کا خمار

اک نئی شان کا ہر روز نکھار

اور پھر سوچتا ہوں

تو تو کچھ اور ہے ان چیزوں کا مجموعہ نہیں

تو تو کچھ اور ہے ان سے بھی سوا

ان کے ہونے کا نہ ہونے کا بھی پابند نہیں تیرا وجود

تیرے قدموں کے نشاں اور کہیں دیکھے تھے

تیرے قدموں سے تو ہے آج بھی شاداب مرا سارا وجود

یاد رکھنے کی یہی بات تھی ابن آدم

تم نے جب چاند پہ رکھا تھا قدم

تم کسی اور ستارے سے یہاں آئے تھے

غالب احمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wajud Aur Ibn-e-adam

Ghalib Ahmad

1
hum kisi aur sitare se yahan aae the
yaad rakhna thi yahi baat magar bhul gae
hum ne jab chand pe rakkha tha qadam
yaad aaya tha hamein us ka badan
hum magar apnon ki baaton mein magan
wadi-e-yaad ki gahrai mein utre hi nahin
kash us lamhe ki aawaz ko hum sun lete
phir hamein waqt ke changul se rihai hoti
ghaar ke par safedi na siyahi hoti

2
zamin ka zamana hai ye
hum zamin-bos hue
sabz rangon ke sarab
nilgun sath-e-ab
hum falak-bos hue
aur ye bhul gae
the kabhi apne badan par tere qadmon ke nishan
sabz patton ke siwa
aur bhi rang the rangon se siwa
kaun sa kaif tha in chizon mein
jin ki tum ruh the hum paikar the
nur ho saya ho ki tariki ho
lakh main jism se aur ruh se aarasta pairasta ho kar uTThun
ban bhi jae ye zamin
meri karishma-gah-e-alat-gari
tu magar aur hi kuchh chiz hai
tu na nuri hai na nari hai na KHak-e-abi
tu na shamsi hai na arzi hai na hai mahtabi
tu na mirriKH se zohra se na sartan se hai
tere qadmon ke nishan aur kahin dekhe the
jism qad shakl ye atwar ye tewar tere
teri bu-bas libas phul ye zewar tere
KHamushi teri ye aawaz ye chalna tera aana jaana
ye sitaron ka ghubar
silsila hai ye adaon ka
ki hai jism ke pardon pe teri ruh ke naghmon ka KHumar
ek nai shan ka har roz nikhaar
aur phir sochta hun
tu to kuchh aur hai in chizon ka majmua nahin
tu to kuchh aur hai in se bhi siwa
in ke hone ka na hone ka bhi paband nahin tera wajud
tere qadmon ke nishan aur kahin dekhe the
tere qadmon se to hai aaj bhi shadab mera sara wajud
yaad rakhne ki yahi baat thi ibn-e-adam
tum ne jab chand pe rakkha tha qadam
tum kisi aur sitare se yahan aae the

(600) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wajud Aur Ibn-e-adam written by Ghalib Ahmad at UrduPoint. Wajud Aur Ibn-e-adam is one of the masterpieces written by Ghalib Ahmad. You can also find the complete poetry collection of Ghalib Ahmad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghalib Ahmad' above.

Wajud Aur Ibn-e-adam is a widely read Urdu Nazam. If you like Wajud Aur Ibn-e-adam, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.