Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche, Urdu Ghazal By Hafeez Hoshiarpuri

Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hafeez Hoshiarpuri. Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

راز سر بستہ محبت کے زباں تک پہنچے

حفیظ ہوشیارپوری

راز سر بستہ محبت کے زباں تک پہنچے

بات بڑھ کر یہ خدا جانے کہاں تک پہنچے

کیا تصرف ہے ترے حسن کا اللہ اللہ

جلوے آنکھوں سے اتر کر دل و جاں تک پہنچے

تری منزل پہ پہنچنا کوئی آسان نہ تھا

سرحد عقل سے گزرے تو یہاں تک پہنچے

حیرت عشق مری حسن کا آئینہ ہے

دیکھنے والے کہاں سے ہیں کہاں تک پہنچے

کھل گیا آج نگاہیں ہیں نگاہیں اپنی

جلوے ہی جلوے نظر آئے جہاں تک پہنچے

وہی اس گوشۂ داماں کی حقیقت جانے

جو مرے دیدۂ خوں نابہ فشاں تک پہنچے

ابتدا میں جنہیں ہم ننگ وفا سمجھے تھے

ہوتے ہوتے وہ گلے حسن بیاں تک پہنچے

آہ وہ حرف تمنا کہ نہ لب تک آئے

ہائے وہ بات کہ اک اک کی زباں تک پہنچے

کس کا دل ہے کہ سنے قصۂ فرقت میرا

کون ہے جو مرے اندوہ نہاں تک پہنچے

خلش انگیز تھا کیا کیا تری مژگاں کا خیال

ٹوٹ کر دل میں یہ نشتر رگ جاں تک پہنچے

نہ پتہ سنگ نشاں کا نہ خبر رہبر کی

جستجو میں ترے دیوانے یہاں تک پہنچے

نہ غبار رہ منزل ہے نہ آواز جرس

کون مجھ رہرو گم کردۂ نشاں تک پہنچے

صاف توہین ہے یہ درد محبت کی حفیظؔ

حسن کا راز ہو اور میری زباں تک پہنچے

حفیظ ہوشیارپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche

Hafeez Hoshiarpuri

raaz-e-sar-basta mohabbat ke zaban tak pahunche
baat baDh kar ye KHuda jaane kahan tak pahunche

kya tasarruf hai tere husn ka allah allah
jalwe aankhon se utar kar dil-o-jaan tak pahunche

teri manzil pe pahunchna koi aasan na tha
sarhad-e-aql se guzre to yahan tak pahunche

hairat-e-ishq meri husn ka aaina hai
dekhne wale kahan se hain kahan tak pahunche

khul gaya aaj nigahen hain nigahen apni
jalwe hi jalwe nazar aae jahan tak pahunche

wahi is gosha-e-daman ki haqiqat jaane
jo mere dida-e-KHun-naba-fishan tak pahunche

ibtida mein jinhen hum nang-e-wafa samjhe the
hote hote wo gile husn-e-bayan tak pahunche

aah wo harf-e-tamanna ki na lab tak aae
hae wo baat ki ek ek ki zaban tak pahunche

kis ka dil hai ki sune qissa-e-furqat mera
kaun hai jo mere andoh-e-nihan tak pahunche

KHalish-angez tha kya kya teri mizhgan ka KHayal
TuT kar dil mein ye nashtar rag-e-jaan tak pahunche

na pata sang-e-nishan ka na KHabar rahbar ki
justuju mein tere diwane yahan tak pahunche

na ghubar-e-rah-e-manzil hai na aawaz-e-jaras
kaun mujh rahraw-e-gum-karda-e-nishan tak pahunche

saf tauhin hai ye dard-e-mohabbat ki 'hafiz'
husn ka raaz ho aur meri zaban tak pahunche

(745) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche written by Hafeez Hoshiarpuri at UrduPoint. Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche is one of the masterpieces written by Hafeez Hoshiarpuri. You can also find the complete poetry collection of Hafeez Hoshiarpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hafeez Hoshiarpuri' above.

Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.