ShoKHi Ada Ghurur Shararat KHaridiye, Urdu Ghazal By Hafeez Momin

ShoKHi Ada Ghurur Shararat KHaridiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hafeez Momin. ShoKHi Ada Ghurur Shararat KHaridiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read ShoKHi Ada Ghurur Shararat KHaridiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ShoKHi Ada Ghurur Shararat KHaridiye

Hafeez Momin

shoKHi ada ghurur shararat KHaridiye
chandi uchhaaliye to qayamat KHaridiye

aslaf ke nuqush kitabon mein band hain
bazar se kisi ki shabahat KHaridiye

aTki hui hai ruh purani tarash mein
kis dil se asr-e-haal ki jiddat KHaridiye

ahl-e-jahan ka aur badalne laga mazaq
fikr-o-nazar bhi hasb-e-zarurat KHaridiye

zahir bahut hasin hai baatin ghinawna
pachhtaiyega aap mujhe mat KHaridiye

quran kholne key zarurat nahin rahi
bikti hai subh-o-sham tilawat KHaridiye

pak jaega to aap Tapak jaega janab
aangan mein shaKH aai hai phal mat KHaridiye

(346) ووٹ وصول ہوئے

You can read ShoKHi Ada Ghurur Shararat KHaridiye written by Hafeez Momin at UrduPoint. ShoKHi Ada Ghurur Shararat KHaridiye is one of the masterpieces written by Hafeez Momin. You can also find the complete poetry collection of Hafeez Momin by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hafeez Momin' above.

ShoKHi Ada Ghurur Shararat KHaridiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like ShoKHi Ada Ghurur Shararat KHaridiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.