Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae, Urdu Ghazal By Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ بات ہی تھی ایسی کہ تھامے جگر گئے

حکیم محمد اجمل خاں شیدا

کچھ بات ہی تھی ایسی کہ تھامے جگر گئے

ہم اور جاتے بزم عدو میں مگر گئے

یہ تو خبر نہیں کہ کہاں اور کدھر گئے

لیکن یہاں سے دور کچھ اہل سفر گئے

ارماں جو ہم نے جمع کئے تھے شباب میں

پیری میں وہ خدا کو خبر ہے کدھر گئے

رتبہ بلند ہے مرے داغوں کا اس قدر

میں ہوں زمیں پہ داغ مرے تا قمر گئے

رخسار پر ہے رنگ حیا کا فروغ آج

بوسے کا نام میں نے لیا وہ نکھر گئے

دنیا بس اس سے اور زیادہ نہیں ہے کچھ

کچھ روز ہیں گزارنے اور کچھ گزر گئے

جانے لگا ہے دل کی طرف ان کا ہاتھ اب

نالے شب فراق کے کچھ کام کر گئے

حسرت کا یہ مزا ہے کہ نکلے نہیں کبھی

ارماں نہیں ہیں وہ کہ شب آئے سحر گئے

بس ایک ذات حضرت شیداؔ کی ہے یہاں

دہلی سے رفتہ رفتہ سب اہل ہنر گئے

حکیم محمد اجمل خاں شیدا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

kuchh baat hi thi aisi ki thame jigar gae
hum aur jate bazm-e-adu mein magar gae

ye to KHabar nahin ki kahan aur kidhar gae
lekin yahan se dur kuchh ahl-e-safar gae

arman jo hum ne jama kiye the shabab mein
piri mein wo KHuda ko KHabar hai kidhar gae

rutba buland hai mere daghon ka is qadar
main hun zamin pe dagh mere ta-qamar gae

ruKHsar par hai rang-e-haya ka farogh aaj
bose ka nam main ne liya wo nikhar gae

duniya bas is se aur zyaada nahin hai kuchh
kuchh roz hain guzarne aur kuchh guzar gae

jaane laga hai dil ki taraf un ka hath ab
nale shab-e-firaq ke kuchh kaam kar gae

hasrat ka ye maza hai ki nikle nahin kabhi
arman nahin hain wo ki shab aae sahar gae

bas ek zat hazrat-e-'shaida' ki hai yahan
dehli se rafta rafta sab ahl-e-hunar gae

(841) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida Poetry

You can read Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida at UrduPoint. Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae is one of the masterpieces written by Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida. You can also find the complete poetry collection of Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida' above.

Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Baat Hi Thi Aisi Ki Thame Jigar Gae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.