Jo Dil Pe Tir Tumhaari Ada Ke BaiThe Hain, Urdu Ghazal By Hamid Hussain Hamid

Jo Dil Pe Tir Tumhaari Ada Ke BaiThe Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hamid Hussain Hamid. Jo Dil Pe Tir Tumhaari Ada Ke BaiThe Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Dil Pe Tir Tumhaari Ada Ke BaiThe Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو دل پہ تیر تمہاری ادا کے بیٹھے ہیں

حامد حسین حامد

جو دل پہ تیر تمہاری ادا کے بیٹھے ہیں

وہ گویا بن کے فرشتے قضا کے بیٹھے ہیں

جو میکدے میں یہ مے خوار آ کے بیٹھے ہیں

نہ بے غرض کے نہ بے مدعا کے بیٹھے ہیں

صنم کدے ہوئے معمور حق پرستوں سے

بتوں کی یاد میں بندے خدا کے بیٹھے ہیں

یہ سوچتے ہیں کہ ہاتھ آئے کوئی طرز ستم

ہماری فکر میں وہ سر جھکا کے بیٹھے ہیں

جہاں میں جلوہ فروشی ہے آپ کو منظور

اسی لئے تو سر بام آ کے بیٹھے ہیں

یہی تو طالب دیدار کی تمنا تھی

نقاب آپ جو رخ سے اٹھا کے بیٹھے ہیں

لگی نہ کم ہو پس مرگ بھی یہ مطلب ہے

وہ شمع میری لحد پر جلا کے بیٹھے ہیں

ہم اپنے آپ کو اے چرخ مثل نقش قدم

کسی کی راہ طلب میں مٹا کے بیٹھے ہیں

فراق یار میں کچھ ایسی ناامیدی ہے

کہ اپنی زیست سے ہم ہاتھ اٹھا کے بیٹھے ہیں

ہمارا ان کا اسی دن تو فیصلہ ہوگا

ہم انتظار میں روز جزا کے بیٹھے ہیں

جناب شیخ بھی ہنگام مے کشی حامدؔ

ادب سے محفل رنداں میں آ کے بیٹھے ہیں

حامد حسین حامد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Dil Pe Tir Tumhaari Ada Ke BaiThe Hain

Hamid Hussain Hamid

jo dil pe tir tumhaari ada ke baiThe hain
wo goya ban ke farishte qaza ke baiThe hain

jo mai-kade mein ye mai-KHwar aa ke baiThe hain
na be-gharaz ke na be-muddaa ke baiThe hain

sanam-kade hue mamur haq-paraston se
buton ki yaad mein bande KHuda ke baiThe hain

ye sochte hain ki hath aae koi tarz-e-sitam
hamari fikr mein wo sar jhuka ke baiThe hain

jahan mein jalwa-faroshi hai aap ko manzur
isi liye to sar-e-baam aa ke baiThe hain

yahi to talib-e-didar ki tamanna thi
naqab aap jo ruKH se uTha ke baiThe hain

lagi na kam ho pas-e-marg bhi ye matlab hai
wo shama meri lahad par jala ke baiThe hain

hum apne aap ko ai charKH misl-e-naqsh-e-qadam
kisi ki rah-e-talab mein miTa ke baiThe hain

firaq-e-yar mein kuchh aisi na-umidi hai
ki apni zist se hum hath uTha ke baiThe hain

hamara un ka usi din to faisla hoga
hum intizar mein roz-e-jaza ke baiThe hain

janab-e-shaiKH bhi hangam-e-mai-kashi 'hamid'
adab se mahfil-e-rindan mein aa ke baiThe hain

(630) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Dil Pe Tir Tumhaari Ada Ke BaiThe Hain written by Hamid Hussain Hamid at UrduPoint. Jo Dil Pe Tir Tumhaari Ada Ke BaiThe Hain is one of the masterpieces written by Hamid Hussain Hamid. You can also find the complete poetry collection of Hamid Hussain Hamid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hamid Hussain Hamid' above.

Jo Dil Pe Tir Tumhaari Ada Ke BaiThe Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Dil Pe Tir Tumhaari Ada Ke BaiThe Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.