KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai, Urdu Ghazal By Hans Raj Sachdev Haziin

KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hans Raj Sachdev Haziin. KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوشی گر ہے تو کیا ماتم نہیں ہے

ہنس راج سچدیو حزیںؔ

خوشی گر ہے تو کیا ماتم نہیں ہے

شگفتہ گل پہ کیا شبنم نہیں ہے

کیا ہے یاد اس نے آج شاید

مزاج زندگی برہم نہیں ہے

کسے اپنا کہیں دنیا میں یا رب

کوئی مونس کوئی ہمدم نہیں ہے

ترے جلووں کی جرأت کیسے ہوگی

مری آنکھوں میں اتنا دم نہیں ہے

نظر ان کی پڑی ہے جب سے مجھ پر

مری قسمت میں کوئی غم نہیں ہے

خوشی کے آنکھ میں بھر آئے آنسو

وگرنہ چشم میری نم نہیں ہے

مجھے لے چل حزیںؔ اس انجمن میں

جہاں محرم ہے نامحرم نہیں ہے

ہنس راج سچدیو حزیںؔ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai

Hans Raj Sachdev Haziin

KHushi gar hai to kya matam nahin hai
shagufta gul pe kya shabnam nahin hai

kiya hai yaad us ne aaj shayad
mizaj-e-zindagi barham nahin hai

kise apna kahen duniya mein yarab
koi monis koi hamdam nahin hai

tere jalwon ki jurat kaise hogi
meri aankhon mein itna dam nahin hai

nazar un ki paDi hai jab se mujh par
meri qismat mein koi gham nahin hai

KHushi ke aankh mein bhar aae aansu
wagarna chashm meri nam nahin hai

mujhe le chal 'hazin' us anjuman mein
jahan mahram hai na-mahram nahin hai

(627) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai written by Hans Raj Sachdev Haziin at UrduPoint. KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai is one of the masterpieces written by Hans Raj Sachdev Haziin. You can also find the complete poetry collection of Hans Raj Sachdev Haziin by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hans Raj Sachdev Haziin' above.

KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHushi Gar Hai To Kya Matam Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.