Aasman Par BiTha Diya Mujhko, Urdu Ghazal By Harshal Ghafil

Aasman Par BiTha Diya Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Harshal Ghafil. Aasman Par BiTha Diya Mujhko comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aasman Par BiTha Diya Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آسماں پر بٹھا دیا مجھ کو

ہرشل غافل

آسماں پر بٹھا دیا مجھ کو

اس سخن نے جھکا دیا مجھ کو

داستاں زندگی کی اتنی ہے

زندگی نے کھپا دیا مجھ کو

چھاؤں میں جب گیا میں سستانے

خواہشوں نے اٹھا دیا مجھ کو

صبر کی چھت بچاتے ہیں کیسے

آندھیوں نے سکھا دیا مجھ کو

میں تھا بے فکر بیٹھ کشتی میں

کشتی نے ہی ڈبو دیا مجھ کو

فون پر تیری اس خموشی نے

آج پھر سے رلا دیا مجھ کو

کس قدر دوریوں کی چادر ہے

کروٹوں نے بتا دیا مجھ کو

خواب سی زندگی تھی غافلؔ کی

شکریہ جو جگا دیا مجھ کو

ہرشل غافل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aasman Par BiTha Diya Mujhko

Harshal Ghafil

aasman par biTha diya mujh ko
is suKHan ne jhuka diya mujh ko

dastan zindagi ki itni hai
zindagi ne khapa diya mujh ko

chhanw mein jab gaya main sustane
KHwahishon ne uTha diya mujh ko

sabr ki chhat bachate hain kaise
aandhiyon ne sikha diya mujh ko

main tha be-fikr baiTh kashti mein
kashti ne hi Dubo diya mujh ko

phone par teri is KHamoshi ne
aaj phir se rula diya mujh ko

kis qadar duriyon ki chadar hai
karwaTon ne bata diya mujh ko

KHwab si zindagi thi 'ghafil' ki
shukriya jo jaga diya mujh ko

(681) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aasman Par BiTha Diya Mujhko written by Harshal Ghafil at UrduPoint. Aasman Par BiTha Diya Mujhko is one of the masterpieces written by Harshal Ghafil. You can also find the complete poetry collection of Harshal Ghafil by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Harshal Ghafil' above.

Aasman Par BiTha Diya Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aasman Par BiTha Diya Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.