Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka, Urdu Ghazal By Hassan Aabid

Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hassan Aabid. Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شہر میں شور ہے اس شوخ کے آ جانے کا

حسن عابد

شہر میں شور ہے اس شوخ کے آ جانے کا

ہر کوئی روپ بھرے پھرتا ہے دیوانے کا

رند و واعظ تھے بہم دست و گریباں کل رات

جانے کیا حال ہوا شیشہ و پیمانے کا

شب کا عالم تھا جدا دن کے تقاضے کچھ اور

اس سے کیا ذکر کریں رات کے افسانے کا

تر بہ تر خون میں ہے دامن امید بہار

ہاتھ میں زخم ہے ٹوٹے ہوئے پیمانے کا

اس کی آنکھوں میں وہی رنگ وہی حسن طلب

دل کو سمجھائیں مگر فائدہ سمجھانے کا

صحن مسجد کا ہے اور حافظؔ و-خیامؔ کے شعر

جام غائب میں مگر رنگ ہے مے خانے کا

حسن عابد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka

Hassan Aabid

shahr mein shor hai us shoKH ke aa jaane ka
har koi rup bhare phirta hai diwane ka

rind-o-waiz the baham dast-o-gareban kal raat
jaane kya haal hua shisha-o-paimane ka

shab ka aalam tha juda din ke taqaze kuchh aur
us se kya zikr karen raat ke afsane ka

tar-ba-tar KHun mein hai daman-e-ummid-e-bahaar
hath mein zaKHm hai TuTe hue paimane ka

us ki aankhon mein wahi rang wahi husn-e-talab
dil ko samjhaen magar faeda samjhane ka

sahn masjid ka hai aur 'hafiz'-o-'KHayyam' ke sher
jam-e-ghayab mein magar rang hai mai-KHane ka

(807) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka written by Hassan Aabid at UrduPoint. Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka is one of the masterpieces written by Hassan Aabid. You can also find the complete poetry collection of Hassan Aabid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hassan Aabid' above.

Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.