Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna, Urdu Ghazal By Hassan Nasir

Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hassan Nasir. Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ڈائری میں لکھ کے میرے تذکرے رکھ چھوڑنا

حسن ناصر

ڈائری میں لکھ کے میرے تذکرے رکھ چھوڑنا

پھر کبھی ان پر لگا کر حاشیے رکھ چھوڑنا

یاد کی البم سجا کر گوشۂ دل میں کہیں

کام آئیں گے وفا کے سلسلے رکھ چھوڑنا

یہ بھی کیا پہلے دکھا کر منزلوں کے راستے

پھر دلوں کے درمیاں کچھ فاصلے رکھ چھوڑنا

کیا خبر کب لوٹ آئیں اجنبی دیسوں سے وہ

پیڑ پر محفوظ ان کے گھونسلے رکھ چھوڑنا

درد کے رستے حسنؔ ناصر رواں رہتے تو ہیں

ہر قدم پر تم مگر روشن دیئے رکھ چھوڑنا

حسن ناصر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna

Hassan Nasir

Diary mein likh ke mere tazkire rakh chhoDna
phir kabhi un par laga kar hashiye rakh chhoDna

yaad ki album saja kar gosha-e-dil mein kahin
kaam aaenge wafa ke silsile rakh chhoDna

ye bhi kya pahle dikha kar manzilon ke raste
phir dilon ke darmiyan kuchh fasle rakh chhoDna

kya KHabar kab lauT aaen ajnabi deson se wo
peD par mahfuz un ke ghonsle rakh chhoDna

dard ke raste 'hasan'-nasir rawan rahte to hain
har qadam par tum magar raushan diye rakh chhoDna

(1025) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna written by Hassan Nasir at UrduPoint. Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna is one of the masterpieces written by Hassan Nasir. You can also find the complete poetry collection of Hassan Nasir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hassan Nasir' above.

Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna is a widely read Urdu Ghazal. If you like Diary Mein Likh Ke Mere Tazkire Rakh ChhoDna, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.