Kaba-o-but-KHana Walon Se Juda BaiThe Hain Hum, Urdu Ghazal By Hatim Ali Mehr

Kaba-o-but-KHana Walon Se Juda BaiThe Hain Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hatim Ali Mehr. Kaba-o-but-KHana Walon Se Juda BaiThe Hain Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kaba-o-but-KHana Walon Se Juda BaiThe Hain Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کعبہ و بت خانہ والوں سے جدا بیٹھے ہیں ہم

حاتم علی مہر

کعبہ و بت خانہ والوں سے جدا بیٹھے ہیں ہم

اک بت ناآشنا سے دل لگا بیٹھے ہیں ہم

آپ سے اپنے کو دیوانہ بنا بیٹھے ہیں ہم

کوئے جاناں چھوڑ کے جنگل میں آ بیٹھے ہیں ہم

کیوں مکدر کر دیا نازک مزاجوں کا مزاج

کوچۂ جاناں سے چل جا اے صبا بیٹھے ہیں ہم

یہ دعا کعبہ میں کرتے ہیں کہ اس بت سے ملا

تیرے دروازہ پر آ کر اے خدا بیٹھے ہیں ہم

وہ تو کہتے ہیں کہ اٹھ جائیں میرے کوچہ سے آپ

ہائے کتنی ہو گئی ہیں بے حیا بیٹھے ہیں ہم

سرگرانی ہے عبث ہم خاکساروں سے تمہیں

یا تو مٹنے کو بسان نقش پا بیٹھے ہیں ہم

اپنا باطن خوب ہے ظاہر سے بھی اے جان جاں

آنکھ کے لڑنے سے پہلے جی لڑا بیٹھے ہیں ہم

میں تو کہتا ہوں کہ بزم غیر ہے یاں سے اٹھو

اور وہ کہتے ہیں مجھ سے تجھ کو کیا بیٹھے ہیں ہم

یا ہمیں اٹھوا دیا یا اٹھ گئے ہیں آپ وہ

گر کبھی مجلس میں بھی پاس ان کے جا بیٹھے ہیں ہم

بزم تصویر اپنی صحبت ہو گئی ہے ان دنوں

آشنا دن میں بھی اب نا آشنا بیٹھے ہیں ہم

پڑ گیا ہے ہاتھ جب انگیا پہ اس خوش گات کی

صورت شہباز چڑیا کو دبا بیٹھے ہیں ہم

گہر سے اٹھنے کی نہیں باہر نہیں رکھنے کے پاؤں

یار کے سر کی قسم اے مہرؔ کھا بیٹھے ہیں ہم

حاتم علی مہر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kaba-o-but-KHana Walon Se Juda BaiThe Hain Hum

Hatim Ali Mehr

kaba-o-but-KHana walon se juda baiThe hain hum
ek but-e-na-ashna se dil laga baiThe hain hum

aap se apne ko diwana bana baiThe hain hum
ku-e-jaanan chhoD ke jangal mein aa baiThe hain hum

kyun mukaddar kar diya nazuk-mizajon ka mizaj
kucha-e-jaanan se chal ja ai saba baiThe hain hum

ye dua kaba mein karte hain ki us but se mila
tere darwaza par aa kar ai KHuda baiThe hain hum

wo to kahte hain ki uTh jaen mere kucha se aap
hae kitni ho gai hain be-haya baiThe hain hum

sargirani hai abas hum KHaksaron se tumhein
ya to miTne ko basan-e-naqsh-e-pa baiThe hain hum

apna baatin KHub hai zahir se bhi ai jaan-e-jaan
aankh ke laDne se pahle ji laDa baiThe hain hum

main to kahta hun ki bazm-e-ghair hai yan se uTho
aur wo kahte hain mujh se tujh ko kya baiThe hain hum

ya hamein uThwa diya ya uTh gae hain aap wo
gar kabhi majlis mein bhi pas un ke ja baiThe hain hum

bazm-e-taswir apni sohbat ho gai hai in dinon
aashna din mein bhi ab na-ashna baiThe hain hum

paD gaya hai hath jab angiya pe us KHush-gat ki
surat-e-shahbaz chiDiya ko daba baiThe hain hum

guhar se uThne ki nahin bahar nahin rakhne ke paon
yar ke sar ki qasam ai 'mehr' kha baiThe hain hum

(620) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kaba-o-but-KHana Walon Se Juda BaiThe Hain Hum written by Hatim Ali Mehr at UrduPoint. Kaba-o-but-KHana Walon Se Juda BaiThe Hain Hum is one of the masterpieces written by Hatim Ali Mehr. You can also find the complete poetry collection of Hatim Ali Mehr by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hatim Ali Mehr' above.

Kaba-o-but-KHana Walon Se Juda BaiThe Hain Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kaba-o-but-KHana Walon Se Juda BaiThe Hain Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.