Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri, Urdu Ghazal By Heera Lal Falak Dehlvi

Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Heera Lal Falak Dehlvi. Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زمانہ دیکھتا ہے ہنس کے چشم خوں فشاں میری

ہیرا لال فلک دہلوی

زمانہ دیکھتا ہے ہنس کے چشم خوں فشاں میری

مگر میں خوش ہوں ان کی داستاں ہے اور زباں میری

اکیلا ہوں بھری دنیا میں میں کس کو کہوں اپنا

کوئی ہوتا تو کر دیتا مکمل داستاں میری

گزرتا آ رہا ہوں جانے میں کن کن مقاموں سے

زمیں کے بعد آیا رہ گزر میں آسماں میری

میں یا رب خاک کا پتلا سہی لیکن یہ کیا کم ہے

ہوئی ہے منتخب ہستی برائے امتحاں میری

فنا کی منزلوں پر ختم ہیں راہیں عناصر کی

یہی اب دیکھنا ہے روح جاتی ہے کہاں میری

نہ جانے سلسلہ جاتا کہاں تک جسم خاکی کا

خدا کا شکر ہے حد بن گئے کون و مکاں میری

ذرا اے عزم دل رخ پھیر طوفاں کی ہواؤں کے

سوئے گرداب کشتی لے چلی موج رواں میری

زباں پر لے تو آؤں گا مگر دل تھامنا ہوگا

مجھے معلوم ہے روداد دل ہے لا بیاں میری

کڑک کر بجلیاں رہ جائیں گی چھٹ جائیں گے بادل

رہے گا زندگی بن کر سکون آشیاں میری

فلکؔ میں سر زمین داغؔ و غالبؔ کا ہوں اک ذرہ

وطن ہے شہر دہلی زندگی اردو زباں میری

ہیرا لال فلک دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri

Heera Lal Falak Dehlvi

zamana dekhta hai hans ke chashm-e-KHun-fishan meri
magar main KHush hun un ki dastan hai aur zaban meri

akela hun bhari duniya mein main kis ko kahun apna
koi hota to kar deta mukammal dastan meri

guzarta aa raha hun jaane mein kin kin maqamon se
zamin ke baad aaya rahguzar mein aasman meri

main yarab KHak ka putla sahi lekin ye kya kam hai
hui hai muntaKHab hasti barae imtihan meri

fana ki manzilon par KHatm hain rahen anasir ki
yahi ab dekhna hai ruh jati hai kahan meri

na jaane silsila jata kahan tak jism-e-KHaki ka
KHuda ka shukr hai had ban gae kaun-o-makan meri

zara ai azm-e-dil ruKH pher tufan ki hawaon ke
su-e-girdab kashti le chali mauj-e-rawan meri

zaban par le to aaunga magar dil thamna hoga
mujhe malum hai rudad-e-dil hai la-bayan meri

kaDak kar bijliyan rah jaengi chhaT jaenge baadal
rahega zindagi ban kar sukun-e-ashiyan meri

'falak' main sar-zamin-e-'dagh'-o-'ghaalib' ka hun ek zarra
watan hai shahr-e-dehli zindagi urdu zaban meri

(655) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri written by Heera Lal Falak Dehlvi at UrduPoint. Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri is one of the masterpieces written by Heera Lal Falak Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Heera Lal Falak Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Heera Lal Falak Dehlvi' above.

Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zamana Dekhta Hai Hans Ke Chashm-e-KHun-fishan Meri, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.