Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya, Urdu Ghazal By Ibn E Mufti

Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ibn E Mufti. Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پھر سے وہ لوٹ کر نہیں آیا

ابن مفتی

پھر سے وہ لوٹ کر نہیں آیا

پھر دعا میں اثر نہیں آیا

چین آئے گا کیسے آج کی شب

تارے نکلے، قمر نہیں آیا

لکھتے دیکھا تھا خواب میں ان کو

اب تلک نامہ بر نہیں آیا

میرے مرنے پہ آیا سارا جہاں

جو تھا اک با خبر نہیں آیا

چل بسی ماں لئے کھلی آنکھیں

اس کا، نور نظر نہیں آیا

یوں تو پتھر بہت سے دیکھے ہیں

کوئی تم سا نظر نہیں آیا

شام ڈھلنے لگی ہے اب مفتیؔ

صبح کا بھولا گھر نہیں آیا

ابن مفتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya

Ibn E Mufti

phir se wo lauT kar nahin aaya
phir dua mein asar nahin aaya

chain aaega kaise aaj ki shab
tare nikle, qamar nahin aaya

likhte dekha tha KHwab mein un ko
ab talak nama-bar nahin aaya

mere marne pe aaya sara jahan
jo tha ek ba-KHabar nahin aaya

chal basi man liye khuli aankhen
us ka, nur-e-nazar nahin aaya

yun to patthar bahut se dekhe hain
koi tum sa nazar nahin aaya

sham Dhalne lagi hai ab 'mufti'
subh ka bhula ghar nahin aaya

(536) ووٹ وصول ہوئے

You can read Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya written by Ibn E Mufti at UrduPoint. Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya is one of the masterpieces written by Ibn E Mufti. You can also find the complete poetry collection of Ibn E Mufti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ibn E Mufti' above.

Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.