Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai, Urdu Ghazal By Ibn E Mufti

Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ibn E Mufti. Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل وہی اشک بار رہتا ہے

ابن مفتی

دل وہی اشک بار رہتا ہے

غم سے جو ہمکنار رہتا ہے

میں نے دیکھا خرد کے کاندھوں پر

اک جنوں سا سوار رہتا ہے

لب تبسم میں ہو گئے مشاق

دل مگر سوگوار رہتا ہے

ایک لمحے بھی سوچ لوں ان کو

مدتوں اک خمار رہتا ہے

دل رہے بے کلی کے گھیرے میں

ذہن پہ تو سوار رہتا ہے

تیرے خوابوں کی لت لگی جب سے

رات کا انتظار رہتا ہے

سچ کے دھاگے سے جو بنے رشتہ

عمر بھر استوار رہتا ہے

تیرے دل نے بھی پڑھ لیا کلمہ

جس میں یہ گنہ گار رہتا ہے

جب سے جوڑا ہے آپ سے رشتہ

دامن تار، تار رہتا ہے

وہ تصور میں اک گھڑی آئیں

دیر تک دل بہار رہتا ہے

چاند سے اس لئے ہے پیار مجھے

یہ بھی یاروں کا یار رہتا ہے

گھر میں آتے ہی مہ جبیں نے کہا

یاں تو اختر شمار رہتا ہے

اب تو کر ڈالیے وفا اس کو

وہ جو وعدہ ادھار رہتا ہے

اک طرف گردشیں زمانے کی

اک طرف تیرا پیار رہتا ہے

ترے در سے جڑا ہوا مفلس

عشق میں مال دار رہتا ہے

ماں نے دے دی دعا تو حشر تلک

اس کا باندھا حصار رہتا ہے

دل میں سجدے کیا کرو مفتیؔ

اس میں پروردگار رہتا ہے

ابن مفتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai

Ibn E Mufti

dil wahi ashk-bar rahta hai
gham se jo ham-kanar rahta hai

main ne dekha KHirad ke kandhon par
ek junun sa sawar rahta hai

lab tabassum mein ho gae mashshaq
dil magar sogwar rahta hai

ek lamhe bhi soch lun un ko
muddaton ek KHumar rahta hai

dil rahe be-kali ke ghere mein
zehn pe tu sawar rahta hai

tere KHwabon ki lat lagi jab se
raat ka intizar rahta hai

sach ke dhage se jo bane rishta
umr bhar ustuwar rahta hai

tere dil ne bhi paDh liya kalma
jis mein ye gunahgar rahta hai

jab se joDa hai aap se rishta
daman-e-tar, tar rahta hai

wo tasawwur mein ek ghaDi aaen
der tak dil bahaar rahta hai

chand se is liye hai pyar mujhe
ye bhi yaron ka yar rahta hai

ghar mein aate hi mah-jabin ne kaha
yan to aKHtar shumar rahta hai

ab to kar Daliye wafa us ko
wo jo wada udhaar rahta hai

ek taraf gardishen zamane ki
ek taraf tera pyar rahta hai

tere dar se juDa hua muflis
ishq mein mal-dar rahta hai

man ne de di dua to hashr talak
us ka bandha hisar rahta hai

dil mein sajde kiya karo 'mufti'
is mein parwardigar rahta hai

(536) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai written by Ibn E Mufti at UrduPoint. Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai is one of the masterpieces written by Ibn E Mufti. You can also find the complete poetry collection of Ibn E Mufti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ibn E Mufti' above.

Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Wahi Ashk-bar Rahta Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.