Kar Bura To Bhala Nahin Hota, Urdu Ghazal By Ibn E Mufti

Kar Bura To Bhala Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ibn E Mufti. Kar Bura To Bhala Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kar Bura To Bhala Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کر برا تو بھلا نہیں ہوتا

ابن مفتی

کر برا تو بھلا نہیں ہوتا

کر بھلا تو برا نہیں ہوتا

اک وہی لاپتہ نہیں ہوتا

جس کو اپنا پتا نہیں ہوتا

سب نشانے اگر صحیح ہوتے

تیر کوئی خطا نہیں ہوتا

کون عاشق ہے کون ہے معشوق

پیار میں فیصلہ نہیں ہوتا

کوئی ایسی جگہ ہی دکھلاؤ

جس جگہ پر خدا نہیں ہوتا

کوچۂ یار جو نہ جاتا ہو

راستہ راستہ نہیں ہوتا

کامیابی کے راستوں کی طرف

بیچ کا راستا نہیں ہوتا

ساری دنیا تو ہو گئی میری

اک فقط تو مرا نہیں ہوتا

دل نظر پر اگر نظر رکھتے

پیار کا حادثہ نہیں ہوتا

جب تلک تو نہ ہو خیالوں میں

کوئی سجدہ روا نہیں ہوتا

اس کی مخمور آنکھ کے آگے

مے کدہ مے کدہ نہیں ہوتا

کوششیں خود ہی کرنا پڑتی ہیں

بھیڑ میں راستہ نہیں ہوتا

ایک عرصہ ہوا کہ نیند سے بھی

آمنا سامنا نہیں ہوتا

پیار ہو جائے کب کہاں کس سے

یہ کسی کو پتا نہیں ہوتا

ہم نے دیکھا ہے روبرو ان کے

آئینہ آئینہ نہیں ہوتا

صدقہ خیرات کیجئے صاحب

مسکرانا برا نہیں ہوتا

کیا کرامت بھی اب نہیں ہوگی

مانا اب معجزہ نہیں ہوتا

ہاتھ مشکل میں چھوڑ جاتے ہو

یہ تو پھر تھامنا نہیں ہوتا

پہلے نظریں اٹوٹ تھیں اور اب

ہاتھ دل سے جدا نہیں ہوتا

مفتیؔ ہم ہی بھنور نصیب رہے

ورنہ ساحل پہ کیا نہیں ہوتا

ابن مفتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kar Bura To Bhala Nahin Hota

Ibn E Mufti

kar bura to bhala nahin hota
kar bhala to bura nahin hota

ek wahi lapata nahin hota
jis ko apna pata nahin hota

sab nishane agar sahih hote
tir koi KHata nahin hota

kaun aashiq hai kaun hai mashuq
pyar mein faisla nahin hota

koi aisi jagah hi dikhlao
jis jagah par KHuda nahin hota

kucha-e-yar jo na jata ho
rasta rasta nahin hota

kaamyabi ke raston ki taraf
bich ka rasta nahin hota

sari duniya to ho gai meri
ek faqat tu mera nahin hota

dil nazar par agar nazar rakhte
pyar ka hadsa nahin hota

jab talak tu na ho KHayalon mein
koi sajda rawa nahin hota

us ki maKHmur aankh ke aage
mai-kada mai-kada nahin hota

koshishen KHud hi karna paDti hain
bhiD mein rasta nahin hota

ek arsa hua ki nind se bhi
aamna-samna nahin hota

pyar ho jae kab kahan kis se
ye kisi ko pata nahin hota

hum ne dekha hai ru-ba-ru un ke
aaina aaina nahin hota

sadqa KHairaat kijiye sahab
muskurana bura nahin hota

kya karamat bhi ab nahin hogi
mana ab moajaza nahin hota

hath mushkil mein chhoD jate ho
ye to phir thamna nahin hota

pahle nazren aTuT thin aur ab
hath dil se juda nahin hota

'mufti' hum hi bhanwar-nasib rahe
warna sahil pe kya nahin hota

(525) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kar Bura To Bhala Nahin Hota written by Ibn E Mufti at UrduPoint. Kar Bura To Bhala Nahin Hota is one of the masterpieces written by Ibn E Mufti. You can also find the complete poetry collection of Ibn E Mufti by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ibn E Mufti' above.

Kar Bura To Bhala Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kar Bura To Bhala Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.