Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya, Urdu Ghazal By Iffat Abbas

Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iffat Abbas. Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظر جو آیا اس پہ اعتبار کر لیا گیا

عفت عباس

نظر جو آیا اس پہ اعتبار کر لیا گیا

حقیقتوں کے درک سے فرار کر لیا گیا

قیود آگہی سے جب سہم گئیں جبلتیں

نظر کے گرد رنگ کا حصار کر لیا گیا

شہود کی جو سطح پہ انانیت کا شور اٹھا

تو دامن خودی کو تار تار کر لیا گیا

گماں ہوا کہ راستہ ابھی مری نظر میں ہے

شریر شتر نفس بے مہار کر لیا گیا

جو لوگ دل کی الجھنوں میں غرق تھے خموش تھے

انہیں بھی اہل جذب میں شمار کر لیا گیا

رہ طلب کی سختیوں کے شکوے لب بہ لب ہوئے

سرور جد و جہد کو خمار کر لیا گیا

چلے کبھی کبھی ادھر سے عظمتوں کے قافلے

وفا کا عزم جن سے پائیدار کر لیا گیا

وہ عشق تھا کہ بندگی ضرورتیں کی آگہی

بس ایک ربط تھا جو استوار کر لیا گیا

ورق ورق رموز آگہی کے تھے لکھے ہوئے

کتب کو با رپشت بر حمار کر لیا گیا

اصول اور فروع سب شہابؔ ایک طرف ہوئے

عجب نظام زیست اختیار کر لیا گیا

عفت عباس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya

Iffat Abbas

nazar jo aaya us pe eatibar kar liya gaya
haqiqaton ke dark se farar kar liya gaya

quyud-e-agahi se jab sahm gain jibillaten
nazar ke gird rang ka hisar kar liya gaya

shuhud ki jo sath pe ananiyat ka shor uTha
to daman-e-KHudi ko tar-tar kar liya gaya

guman hua ki rasta abhi meri nazar mein hai
sharir shutr-nafs be-mahaar kar liya gaya

jo log dil ki uljhanon mein gharq the KHamosh the
unhen bhi ahl-e-jazb mein shumar kar liya gaya

rah-e-talab ki saKHtiyon ke shikwe lab-ba-lab hue
surur-e-jidd-o-jahd ko KHumar kar liya gaya

chale kabhi kabhi udhar se azmaton ke qafile
wafa ka azm jin se paedar kar liya gaya

wo ishq tha ki bandagi zaruraten ki aagahi
bas ek rabt tha jo ustuwar kar liya gaya

waraq waraq rumuz-e-agahi ke the likhe hue
kutub ko bar-e-pusht-bar-himar kar liya gaya

usul aur furua sab 'shahab' ek taraf hue
ajab nizam-e-zist iKHtiyar kar liya gaya

(679) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya written by Iffat Abbas at UrduPoint. Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya is one of the masterpieces written by Iffat Abbas. You can also find the complete poetry collection of Iffat Abbas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iffat Abbas' above.

Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.