Gulon Ke Husn-e-zeba Par Phaban Mahsus Hoti Hai, Urdu Ghazal By Iliyas Rahat

Gulon Ke Husn-e-zeba Par Phaban Mahsus Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iliyas Rahat. Gulon Ke Husn-e-zeba Par Phaban Mahsus Hoti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gulon Ke Husn-e-zeba Par Phaban Mahsus Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گلوں کے حسن زیبا پر پھبن محسوس ہوتی ہے

الیاس راحت

گلوں کے حسن زیبا پر پھبن محسوس ہوتی ہے

تری پرچھائیں جب صحن چمن محسوس ہوتی ہے

زمانہ نے ہمارے بیچ اتنی دوریاں رکھ دیں

تمہیں گر سوچتا بھی ہوں تھکن محسوس ہوتی ہے

ترے بخشے ہوئے زخموں کو لمحے بھر گئے لیکن

ابھی تک دل کے پہلو میں دکھن محسوس ہوتی ہے

بچھڑتے وقت مڑ مڑ دیکھنا بوجھل قدم رکھنا

اسی منظر کی آنکھوں میں چبھن محسوس ہوتی ہے

کسی طوفاں کی دستک چور دروازے پہ ہے شاید

جبیں پر وقت کی پڑتی شکن محسوس ہوتی ہے

لڑکپن میں کھلی آنکھوں سے جو تم نے دکھائے تھے

انہیں خوابوں کی پلکوں میں جلن محسوس ہوتی ہے

مرے پہلو سے تو اٹھ کر گئے تھے مدتیں گزریں

تمہارے لمس کی اب بھی تپن محسوس ہوتی ہے

مہک تیری اڑا کر لے گئے جھونکے تغافل کے

بہاروں میں بھی سانسوں میں گھٹن محسوس ہوتی ہے

نہیں معلوم راحتؔ کتنے اندیشوں کا ہے قیدی

وہ جس کو گھر میں رہ کر بھی تھکن محسوس ہوتی ہے

الیاس راحت

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gulon Ke Husn-e-zeba Par Phaban Mahsus Hoti Hai

Iliyas Rahat

gulon ke husn-e-zeba par phaban mahsus hoti hai
teri parchhain jab sehn-e-chaman mahsus hoti hai

zamana ne hamare bich itni duriyan rakh din
tumhein gar sochta bhi hun thakan mahsus hoti hai

tere baKHshe hue zaKHmon ko lamhe bhar gae lekin
abhi tak dil ke pahlu mein dukhan mahsus hoti hai

bichhaDte waqt muD muD dekhna bojhal qadam rakhna
usi manzar ki aankhon mein chubhan mahsus hoti hai

kisi tufan ki dastak chor darwaze pe hai shayad
jabin par waqt ki paDti shikan mahsus hoti hai

laDakpan mein khuli aankhon se jo tum ne dikhae the
unhin KHwabon ki palkon mein jalan mahsus hoti hai

mere pahlu se to uTh kar gae the muddaten guzrin
tumhaare lams ki ab bhi tapan mahsus hoti hai

mahak teri uDa kar le gae jhonke taghaful ke
bahaaron mein bhi sanson mein ghuTan mahsus hoti hai

nahin malum 'rahat' kitne andeshon ka hai qaidi
wo jis ko ghar mein rah kar bhi thakan mahsus hoti hai

(603) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gulon Ke Husn-e-zeba Par Phaban Mahsus Hoti Hai written by Iliyas Rahat at UrduPoint. Gulon Ke Husn-e-zeba Par Phaban Mahsus Hoti Hai is one of the masterpieces written by Iliyas Rahat. You can also find the complete poetry collection of Iliyas Rahat by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iliyas Rahat' above.

Gulon Ke Husn-e-zeba Par Phaban Mahsus Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gulon Ke Husn-e-zeba Par Phaban Mahsus Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.