Qamat-e-yar Ko Hum Yaad Kiya Karte Hain, Urdu Ghazal By Imam Bakhsh Nasikh

Qamat-e-yar Ko Hum Yaad Kiya Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imam Bakhsh Nasikh. Qamat-e-yar Ko Hum Yaad Kiya Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qamat-e-yar Ko Hum Yaad Kiya Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قامت یار کو ہم یاد کیا کرتے ہیں

امام بخش ناسخ

قامت یار کو ہم یاد کیا کرتے ہیں

سرو کو صدقے میں آزاد کیا کرتے ہیں

زلف شب رنگ کو ہم یاد کیا کرتے ہیں

شب تاریک میں فریاد کیا کرتے ہیں

نگۂ یار کو ہم یاد کیا کرتے ہیں

دیکھ کر برق کو فریاد کیا کرتے ہیں

کوچۂ یار کو ہم یاد کیا کرتے ہیں

جا کے گل زار میں فریاد کیا کرتے ہیں

گھر جو بے یار ہے ویراں تو تصور میں مدام

خانۂ دل کو ہم آباد کیا کرتے ہیں

رشک سے نام نہیں لیتے کہ سن لے نہ کوئی

دل ہی دل میں اسے ہم یاد کیا کرتے ہیں

گزرے ہیں کوچۂ کاکل سے صبا کے جھونکے

نکہت گل کو جو برباد کیا کرتے ہیں

ہوتے ہیں جاتے ہی مکتب میں پری رو خوں ریز

کیا یہ جلادوں کو استاد کیا کرتے ہیں

پھونک دیں نالۂ سوزاں سے اگر چاہیں قفس

ہم فقط خاطر صیاد کیا کرتے ہیں

ہوتی ہے آفت خط قہر خدا سے نازل

یہ صنم ہم پہ جو بیداد کیا کرتے ہیں

ملک الموت اگر کہیے انہیں تو ہے بجا

قتل بے تیغ پری زاد کیا کرتے ہیں

تو وہ صیاد ہے جو وار کے تجھ پر لاکھوں

طائر روح کو آزاد کیا کرتے ہیں

انتقام اس کا کہیں لے نہ فلک ڈرتا ہوں

جھوٹے وعدوں سے جو وہ شاد کیا کرتے ہیں

تیرا دیوان ہے کیا سامنے ان کے ناسخؔ

جو کہ قرآن پہ ایراد کیا کرتے ہیں

امام بخش ناسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qamat-e-yar Ko Hum Yaad Kiya Karte Hain

Imam Bakhsh Nasikh

qamat-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
sarw ko sadqe mein aazad kiya karte hain

zulf-e-shab-rang ko hum yaad kiya karte hain
shab-e-tarik mein fariyaad kiya karte hain

nigah-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
dekh kar barq ko fariyaad kiya karte hain

kucha-e-yar ko hum yaad kiya karte hain
ja ke gulzar mein fariyaad kiya karte hain

ghar jo be-yar hai viran to tasawwur mein mudam
KHana-e-dil ko hum aabaad kiya karte hain

rashk se nam nahin lete ki sun le na koi
dil hi dil mein use hum yaad kiya karte hain

guzre hain kucha-e-kakul se saba ke jhonke
nikhat-e-gul ko jo barbaad kiya karte hain

hote hain jate hi maktab mein pari-ru KHun-rez
kya ye jalladon ko ustad kiya karte hain

phunk den nala-e-sozan se agar chahen qafas
hum faqat KHatir-e-sayyaad kiya karte hain

hoti hai aafat-e-KHat qahr-e-KHuda se nazil
ye sanam hum pe jo bedad kiya karte hain

malak-ul-maut agar kahiye unhen to hai baja
qatl be-tegh pari-zad kiya karte hain

tu wo sayyaad hai jo war ke tujh par lakhon
taer-e-ruh ko aazad kiya karte hain

intiqam is ka kahin le na falak Darta hun
jhuTe wadon se jo wo shad kiya karte hain

tera diwan hai kya samne un ke 'nasiKH'
jo ki quran pe irad kiya karte hain

(451) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qamat-e-yar Ko Hum Yaad Kiya Karte Hain written by Imam Bakhsh Nasikh at UrduPoint. Qamat-e-yar Ko Hum Yaad Kiya Karte Hain is one of the masterpieces written by Imam Bakhsh Nasikh. You can also find the complete poetry collection of Imam Bakhsh Nasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imam Bakhsh Nasikh' above.

Qamat-e-yar Ko Hum Yaad Kiya Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qamat-e-yar Ko Hum Yaad Kiya Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.