Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain, Urdu Ghazal By Imdad Imam Asar

Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imdad Imam Asar. Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زبان حال سے ہم شکوۂ بیداد کرتے ہیں

امداد امام اثر

زبان حال سے ہم شکوۂ بیداد کرتے ہیں

دہان زخم قاتل دم بدم فریاد کرتے ہیں

سمجھ کر کیا اسیران قفس فریاد کرتے ہیں

توجہ بھی کہیں فریاد پر صیاد کرتے ہیں

عذاب قبر سے پاتے ہیں راحت عشق کے مجرم

پس مرداں جفائیں یار کی جب یاد کرتے ہیں

نہ کہہ بہر خدا تو بندگان عشق کو کافر

بتوں کی یاد میں زاہد خدا کو یاد کرتے ہیں

ذرا صیاد چل کر دیکھ تو کیا حال ہے ان کا

اسیران قفس فریاد پر فریاد کرتے ہیں

بتان سنگ دل کے ہاتھ سے دل ہی نہیں نالاں

برابر دیر میں ناقوس بھی فریاد کرتے ہیں

بناتے ہیں ہزاروں زخم خنداں خنجر غم سے

دل ناشاد کو ہم اس طرح پر شاد کرتے ہیں

ملے لذت جو ایذا سے تو باز آتے ہیں ایذا سے

ستم ایجاد ہیں طرز ستم ایجاد کرتے ہیں

اثرؔ کو دیکھ کر کیا روح کو صدمہ پہنچتا ہے

خدا سمجھے بتوں سے کس قدر بیداد کرتے ہیں

امداد امام اثر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain

Imdad Imam Asar

zaban-e-haal se hum shikwa-e-bedad karte hain
dahan-e-zaKHm-e-qatil dam-ba-dam fariyaad karte hain

samajh kar kya asiran-e-qafas fariyaad karte hain
tawajjoh bhi kahin fariyaad par sayyaad karte hain

azab-e-qabr se pate hain rahat ishq ke mujrim
pas-e-murdan jafaen yar ki jab yaad karte hain

na kah bahr-e-KHuda tu bandagan-e-ishq ko kafir
buton ki yaad mein zahid KHuda ko yaad karte hain

zara sayyaad chal kar dekh tu kya haal hai un ka
asiran-e-qafas fariyaad par fariyaad karte hain

butan-e-sang-dil ke hath se dil hi nahin nalan
barabar dair mein naqus bhi fariyaad karte hain

banate hain hazaron zaKHm-e-KHandan KHanjar-e-gham se
dil-e-nashad ko hum is tarah pur-shad karte hain

mile lazzat jo iza se to baz aate hain iza se
sitam-ijad hain tarz-e-sitam ijad karte hain

'asar' ko dekh kar kya ruh ko sadma pahunchta hai
KHuda samjhe buton se kis qadar be-dad karte hain

(610) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain written by Imdad Imam Asar at UrduPoint. Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain is one of the masterpieces written by Imdad Imam Asar. You can also find the complete poetry collection of Imdad Imam Asar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imdad Imam Asar' above.

Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.