Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata, Urdu Ghazal By Imdad Imam Asar

Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imdad Imam Asar. Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل سنگ نہیں ہے کہ ستم گر نہ بھر آتا

امداد امام اثر

دل سنگ نہیں ہے کہ ستم گر نہ بھر آتا

کرتے نہ اگر ضبط تو منہ تک جگر آتا

تو فاتحہ خوانی کو اگر قبر پر آتا

مرنے سے مرے غیر کا مطلب نہ بر آتا

اے قیس اگر دشت میں تو راہ پر آتا

سو بار تجھے ناقۂ لیلیٰ نظر آتا

تخصیص نہ تھی طور کی اے حضرت موسیٰ

ہر سنگ میں وہ نور تجلی نظر آتا

ہوتی چمن آرائے ازل کی جو مشیت

اپنے شجر عشق کا وقت ثمر آتا

بے کار نہ کر رات بسر منتظری میں

آنا اسے ہوتا تو وہ اب تک اثرؔ آتا

امداد امام اثر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata

Imdad Imam Asar

dil sang nahin hai ki sitamgar na bhar aata
karte na agar zabt to munh tak jigar aata

tu fatiha-KHwani ko agar qabr par aata
marne se mere ghair ka matlab na bar aata

ai qais agar dasht mein tu rah par aata
sau bar tujhe naqa-e-laila nazar aata

taKHsis na thi tur ki ai hazrat-e-musa
har sang mein wo nur-e-tajalli nazar aata

hoti chaman-ara-e-azal ki jo mashiyyat
apne shajar-e-ishq ka waqt-e-samar aata

be-kar na kar raat basar muntazari mein
aana use hota to wo ab tak 'asar' aata

(518) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata written by Imdad Imam Asar at UrduPoint. Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata is one of the masterpieces written by Imdad Imam Asar. You can also find the complete poetry collection of Imdad Imam Asar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imdad Imam Asar' above.

Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.