KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae, Urdu Ghazal By Imdad Nizaamii

KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imdad Nizaamii. KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کانٹوں میں ہی کچھ ظرف سماعت نظر آئے

امداد نظامی

کانٹوں میں ہی کچھ ظرف سماعت نظر آئے

گلشن میں کہیں تو میری روداد سنی جائے

اس کارگہ شیشہ میں آئینہ ہوں میں بھی

چہرہ نہیں کوئی تو کوئی سنگ ہی آئے

گلگشت کا اب ذوق نہ کچھ قدر بہاراں

اک عمر سے ہوں زخموں کا گل زار سجائے

منزل کا ہے امکاں نہ کوئی ختم سفر کا

اس آبلہ پائی کو کوئی نام دیا جائے

اس وادی کہسار میں پتھر ہی نہیں ہیں

ہے اور بہت کچھ بھی کسی کو تو نظر آئے

ہاں تیز بہت تیز ہے اب وقت کی رفتار

اس دل کا کروں کیا کہ جو چل پائے نہ رک پائے

تانبے سی زمیں اور سوا نیزے پہ سورج

تقدیر نے یوں حشر کے آثار دکھائے

اک گرد مسافت تھی جو چہرے سے نہ اتری

ویسے تو یہاں ہم نے کئی شہر بسائے

امدادؔ نظامی نہ سخنور تھے نہ شاعر

کچھ زخم امانت تھے کسی کی وہی لے آئے

امداد نظامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae

Imdad Nizaamii

kanTon mein hi kuchh zarf-e-samaat nazar aae
gulshan mein kahin to meri rudad suni jae

is kargah-e-shisha mein aaina hun main bhi
chehra nahin koi to koi sang hi aae

gul-gasht ka ab zauq na kuchh qadr-e-bahaaran
ek umr se hun zaKHmon ka gulzar sajae

manzil ka hai imkan na koi KHatm-e-safar ka
is aabla-pai ko koi nam diya jae

is wadi-e-kohsar mein patthar hi nahin hain
hai aur bahut kuchh bhi kisi ko to nazar aae

han tez bahut tez hai ab waqt ki raftar
is dil ka karun kya ki jo chal pae na ruk pae

tanbe si zamin aur siwa neze pe suraj
taqdir ne yun hashr ke aasar dikhae

ek gard-e-masafat thi jo chehre se na utri
waise to yahan hum ne kai shahr basae

'imdad'-nizami na suKHnawar the na shaer
kuchh zaKHm amanat the kisi ki wahi le aae

(598) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae written by Imdad Nizaamii at UrduPoint. KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae is one of the masterpieces written by Imdad Nizaamii. You can also find the complete poetry collection of Imdad Nizaamii by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imdad Nizaamii' above.

KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae is a widely read Urdu Ghazal. If you like KanTon Mein Hi Kuchh Zarf-e-samaat Nazar Aae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.