Wasl Mein KHush Kabhi Dil Hijr Mein Jalte Dekha, Urdu Ghazal By Inayatullah Raushan Badauni

Wasl Mein KHush Kabhi Dil Hijr Mein Jalte Dekha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Inayatullah Raushan Badauni. Wasl Mein KHush Kabhi Dil Hijr Mein Jalte Dekha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wasl Mein KHush Kabhi Dil Hijr Mein Jalte Dekha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وصل میں خوش کبھی دل ہجر میں جلتے دیکھا

عنایت اللہ روشن بدایونی

وصل میں خوش کبھی دل ہجر میں جلتے دیکھا

رنگ نیرنگ جہاں سے یہ بدلتے دیکھا

اف رے اے درد جدائی ترے صدمے شب ہجر

دل کی آنکھوں سے لہو ہو کے نکلتے دیکھا

داغ پر داغ اٹھائے جو لکھا تھا وہ ہوا

سچ ہے قسمت کے نوشتہ کو نہ ٹلتے دیکھا

کچھ تو ہے لطف محبت میں جو ہوتے ہیں فنا

شمع پروانہ کو ہر بزم میں جلتے دیکھا

دیکھ کر چلئے زمانہ کا نشیب اور فراز

کھا کے ٹھوکر جو گرا پھر نہ سنبھلتے دیکھا

کون ہوتا ہے برے وقت میں اے یار شریک

خاک پر چھوڑ کے تن روح کو چلتے دیکھا

داغ تازہ دئے نیرنگ فلک نے اس کو

باغ عالم میں جسے پھولتے پھلتے دیکھا

وقت کی قدر نہ کی لہو و لعب میں جس نے

عمر بھر دست تأسف اسے ملتے دیکھا

ہو مرے سامنے کیا خاک مقابل کو فروغ

کھوٹا سکہ کہیں بازار میں چلتے دیکھا

فرقت طالب و مطلوب غضب ہے روشنؔ

جان کو جسم سے رک رک کے نکلتے دیکھا

عنایت اللہ روشن بدایونی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wasl Mein KHush Kabhi Dil Hijr Mein Jalte Dekha

Inayatullah Raushan Badauni

wasl mein KHush kabhi dil hijr mein jalte dekha
rang nairang-e-jahan se ye badalte dekha

uf re ai dard-e-judai tere sadme shab-e-hijr
dil ki aankhon se lahu ho ke nikalte dekha

dagh par dagh uThae jo likha tha wo hua
sach hai qismat ke nawishta ko na Talte dekha

kuchh to hai lutf-e-mohabbat mein jo hote hain fana
shama parwana ko har bazm mein jalte dekha

dekh kar chaliye zamane ka nasheb aur faraaz
kha ke Thokar jo gira phir na sanbhalte dekha

kaun hota hai bure waqt mein ai yar sharik
KHak par chhoD ke tan ruh ko chalte dekha

dagh-e-taza diye nairang-e-falak ne us ko
bagh-e-alam mein jise phulte phalte dekha

waqt ki qadr na ki lahw-o-lab mein jis ne
umr bhar dast-e-tassuf use malte dekha

ho mere samne kya KHak muqabil ko farogh
khoTa sikka kahin bazar mein chalte dekha

furqat-e-talib-o-matlub ghazab hai 'raushan'
jaan ko jism se ruk ruk ke nikalte dekha

(572) ووٹ وصول ہوئے

You can read Wasl Mein KHush Kabhi Dil Hijr Mein Jalte Dekha written by Inayatullah Raushan Badauni at UrduPoint. Wasl Mein KHush Kabhi Dil Hijr Mein Jalte Dekha is one of the masterpieces written by Inayatullah Raushan Badauni. You can also find the complete poetry collection of Inayatullah Raushan Badauni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Inayatullah Raushan Badauni' above.

Wasl Mein KHush Kabhi Dil Hijr Mein Jalte Dekha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wasl Mein KHush Kabhi Dil Hijr Mein Jalte Dekha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.