Har Ek Ka Hami Wo Musibat Mein Hua Hai, Urdu Ghazal By Inayatullah Raushan Badauni

Har Ek Ka Hami Wo Musibat Mein Hua Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Inayatullah Raushan Badauni. Har Ek Ka Hami Wo Musibat Mein Hua Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Ek Ka Hami Wo Musibat Mein Hua Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر ایک کا حامی وہ مصیبت میں ہوا ہے

عنایت اللہ روشن بدایونی

ہر ایک کا حامی وہ مصیبت میں ہوا ہے

جس کا کوئی دنیا میں نہیں اس کا خدا ہے

خاموش ہوں میں دیکھ کے رفتار زمانہ

حیرت صفت دیدۂ نقش کف پا ہے

اچھے ہو تو اچھے ہو برے ہو تو برے ہو

سنتے ہو جو آواز وہ گنبد کی صدا ہے

اک عمر ہوئی دیکھتے نیرنگ زمانہ

وہ اختر قسمت ہوں جو گردش میں رہا ہے

کیوں خون جگر کھائیے تکمیل ہنر میں

ہر ناقص فن آج امیر الشعرا ہے

اچھا نہیں ہوتا کبھی بیمار محبت

الفت وہ مرض ہے کہ اجل جس کی دوا ہے

بہتر ہے کہ باز آ ستم ایجاد و جفا سے

اے چرخ برے کام کا انجام برا ہے

آساں نہیں اے جان سفر ملک عدم کا

سنتا ہوں کہ دشوار بہت راہ فنا ہے

روشن ہے جہاں نور سے اس پردہ نشیں کے

خورشید میں ذرہ رخ روشن کی ضیا ہے

ارباب کرم پھولتے پھلتے ہیں ہمیشہ

سرسبز نہال کرم اہل سخا ہے

ناقص کے موافق ہے خلاف اہل ہنر کے

بدلی ہوئی روشنؔ یہ زمانہ کی ہوا ہے

عنایت اللہ روشن بدایونی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Ek Ka Hami Wo Musibat Mein Hua Hai

Inayatullah Raushan Badauni

har ek ka hami wo musibat mein hua hai
jis ka koi duniya mein nahin us ka KHuda hai

KHamosh hun main dekh ke raftar-e-zamana
hairat sifat-e-dida-e-naqsh-e-kaf-e-pa hai

achchhe ho to achchhe ho bure ho to bure ho
sunte ho jo aawaz wo gumbad ki sada hai

ek umr hui dekhte nairang-e-zamana
wo aKHtar-e-qismat hun jo gardish mein raha hai

kyon KHun-e-jigar khaiye takmil-e-hunar mein
har naqis-e-fan aaj amirush-shu'ara hai

achchha nahin hota kabhi bimar-e-mohabbat
ulfat wo maraz hai ki ajal jis ki dawa hai

behtar hai ki baz aa sitam-ijad o jafa se
ai charKH bure kaam ka anjam bura hai

aasan nahin ai jaan safar mulk-e-adam ka
sunta hun ki dushwar bahut rah-e-fana hai

raushan hai jahan nur se us parda-nashin ke
KHurshid mein zarra ruKH-e-raushan ki ziya hai

arbab-e-karam phulte phalte hain hamesha
sarsabz nihaal-e-karam-e-ahl-e-saKHa hai

naqis ke muafiq hai KHilaf ahl-e-hunar ke
badli hui 'raushan' ye zamane ki hawa hai

(426) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Ek Ka Hami Wo Musibat Mein Hua Hai written by Inayatullah Raushan Badauni at UrduPoint. Har Ek Ka Hami Wo Musibat Mein Hua Hai is one of the masterpieces written by Inayatullah Raushan Badauni. You can also find the complete poetry collection of Inayatullah Raushan Badauni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Inayatullah Raushan Badauni' above.

Har Ek Ka Hami Wo Musibat Mein Hua Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Ek Ka Hami Wo Musibat Mein Hua Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.