Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije, Urdu Ghazal By Insha Allah Khan Insha

Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Insha Allah Khan Insha. Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کنایہ اور ڈھب کا اس مری مجلس میں کم کیجے

انشا اللہ خاں انشا

کنایہ اور ڈھب کا اس مری مجلس میں کم کیجے

اجی سب تاڑ جاویں گے نہ ایسا تو ستم کیجے

تمہارے واسطے صحرا نشیں ہوں ایک مدت سے

بسان آہوۓ وحشی نہ مجھ سے آپ رم کیجے

مہاراجوں کے راجہ اے جنوں ڈنڈوت ہے تم کو

یہی اب دل میں آتا ہے کوئی پوتھی رقم کیجے

گلے میں ڈال کر زنار قشقہ کھینچ ماتھے پر

برہمن بنئے اور طوف‌ در بیت الصنم کیجے

کہیں دل کی لگاوٹ کو جو یوں سوجھے کہ تک جا کر

قدیمی یار سے اپنے بھی خلطہ کوئی دم کیجیے

تو انگلی کاٹ دانتوں میں پھلا نتھنے رہاندی ہو

لگا کہنے بس اب میرے بڑھاپے پر کرم کیجے

پھڑکتا آج بھی ہم کو نہ پرسوں کی طرح رکھئے

خدا کے واسطے کچھ یاد وہ اگلی قسم کیجے

ملنگ آپس میں کہتے تھے کہ زاہد کچھ جو بولے تو

اشارا اس کو جھٹ سو نر انگشت شکم کیجے

کبھی خط بھی نہ لکھ پہنچا پڑھایا آپ کو کس نے

کہ القط دوستی انشاؔ سے ایسی یک قلم کیجیے

انشا اللہ خاں انشا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije

Insha Allah Khan Insha

kinaya aur Dhab ka is meri majlis mein kam kije
aji sab taD jawenge na aisa to sitam kije

tumhaare waste sahra-nashin hun ek muddat se
basan-e-ahu-e-wahshi na mujh se aap ram kije

mahaarajon ke raja ai junun DanDwat hai tum ko
yahi ab dil mein aata hai koi pothi raqam kije

gale mein Dal kar zunnar qashqa khinch mathe par
barahman baniye aur tauf-e-dar-e-bait-us-sanam kije

kahin dil ki lagawaT ko jo yun sujhe ki tak ja kar
qadimi yar se apne bhi KHalta koi dam kijiye

tu ungli kaT danton mein phula nathune ruhandi ho
laga kahne bas ab mere buDhape par karam kije

phaDakta aaj bhi hum ko na parson ki tarah rakhiye
KHuda ke waste kuchh yaad wo agli qasam kije

malang aapas mein kahte the ki zahid kuchh jo bole to
ishaara us ko jhaT su-e-nar-angusht-e-shikam kije

kabhi KHat bhi na likh pahuncha paDhaya aap ko kis ne
ki alqat dosti 'insha' se aisi yak-qalam kijiye

(475) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije written by Insha Allah Khan Insha at UrduPoint. Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije is one of the masterpieces written by Insha Allah Khan Insha. You can also find the complete poetry collection of Insha Allah Khan Insha by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Insha Allah Khan Insha' above.

Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kinaya Aur Dhab Ka Is Meri Majlis Mein Kam Kije, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.