Mujhe ChheDne Ko Saqi Ne Diya Jo Jam UlTa, Urdu Ghazal By Insha Allah Khan Insha

Mujhe ChheDne Ko Saqi Ne Diya Jo Jam UlTa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Insha Allah Khan Insha. Mujhe ChheDne Ko Saqi Ne Diya Jo Jam UlTa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mujhe ChheDne Ko Saqi Ne Diya Jo Jam UlTa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مجھے چھیڑنے کو ساقی نے دیا جو جام الٹا

انشا اللہ خاں انشا

مجھے چھیڑنے کو ساقی نے دیا جو جام الٹا

تو کیا بہک کے میں نے اسے اک سلام الٹا

سحر ایک ماش پھینکا مجھے جو دکھا کے ان نے

تو اشارا میں نے تاڑا کہ ہے لفظ شام الٹا

یہ بلا دھواں نشہ ہے مجھے اس گھڑی تو ساقی

کہ نظر پڑے ہے سارا در و صحن و بام الٹا

بڑھوں اس گلی سے کیوں کر کہ وہاں تو میرے دل کو

کوئی کھینچتا ہے ایسا کہ پڑے ہے گام الٹا

در مے کدہ سے آئی مہک ایسی ہی مزے کی

کہ پچھاڑ کھا گرا واں دل تشنہ کام الٹا

نہیں اب جو دیتے بوسہ تو سلام کیوں لیا تھا

مجھے آپ پھیر دیجے وہ مرا سلام الٹا

لگے کہنے آب مائع تجھے ہم کہا کریں گے

کہیں ان کے گھر سے بڑھ کر جو پھرا غلام الٹا

مجھے کیوں نہ مار ڈالے تری زلف الٹ کے کافر

کہ سکھا رکھا ہے تو نے اسے لفظ رام الٹا

نرے سیدھے سادے ہم تو بھلے آدمی ہیں یارو

ہمیں کج جو سمجھے سو خود ولد الحرام الٹا

تو جو باتوں میں رکے گا تو یہ جانوں گا کہ سمجھا

مرے جان و دل کے مالک نے مرا کلام الٹا

فقط اس لفافہ پر ہے کہ خط آشنا کو پہنچے

تو لکھا ہے اس نے انشاؔ یہ ترا ہی نام الٹا

انشا اللہ خاں انشا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mujhe ChheDne Ko Saqi Ne Diya Jo Jam UlTa

Insha Allah Khan Insha

mujhe chheDne ko saqi ne diya jo jam ulTa
to kiya bahak ke main ne use ek salam ulTa

sahar ek mash phenka mujhe jo dikha ke un ne
to ishaara main ne taDa ki hai lafz-e-sham ulTa

ye bala dhuan nasha hai mujhe is ghaDi to saqi
ki nazar paDe hai sara dar-o-sahn-o-baam ulTa

baDhun us gali se kyunkar ki wahan to mere dil ko
koi khinchta hai aisa ki paDe hai gam ulTa

dar-e-mai-kada se aai mahak aisi hi maze ki
ki pichhaD kha gira wan dil-e-tishna-kaam ulTa

nahin ab jo dete bosa to salam kyun liya tha
mujhe aap pher dije wo mera salam ulTa

lage kahne aab maya tujhe hum kaha karenge
kahin un ke ghar se baDh kar jo phira ghulam ulTa

mujhe kyun na mar Dale teri zulf ulaT ke kafir
ki sikha rakha hai tu ne use lafz-e-ram ulTa

nire sidhe-sade hum to bhale aadmi hain yaro
hamein kaj jo samjhe so KHud walad-ul-haram ulTa

tu jo baaton mein rukega to ye jaanunga ki samjha
mere jaan-o-dil ke malik ne mera kalam ulTa

faqat is lifafe par hai ki KHat aashna ko pahunche
to likha hai us ne 'insha' ye tera hi nam ulTa

(609) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mujhe ChheDne Ko Saqi Ne Diya Jo Jam UlTa written by Insha Allah Khan Insha at UrduPoint. Mujhe ChheDne Ko Saqi Ne Diya Jo Jam UlTa is one of the masterpieces written by Insha Allah Khan Insha. You can also find the complete poetry collection of Insha Allah Khan Insha by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Insha Allah Khan Insha' above.

Mujhe ChheDne Ko Saqi Ne Diya Jo Jam UlTa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mujhe ChheDne Ko Saqi Ne Diya Jo Jam UlTa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.