Jaana Chaho To Kis Ne Roka Hai, Urdu Ghazal By Iqra Afiya

Jaana Chaho To Kis Ne Roka Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqra Afiya. Jaana Chaho To Kis Ne Roka Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jaana Chaho To Kis Ne Roka Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جانا چاہو تو کس نے روکا ہے

اقرا عافیہ

جانا چاہو تو کس نے روکا ہے

بن مرے جی سکو گے اچھا ہے

جب سے اس نے کہا خدا حافظ

تب سے سب کچھ دھواں دھواں سا ہے

آپ سے دھڑکنوں کی رونق ہے

دل مجھے آپ جیسا لگتا ہے

تم نہیں آئے ملنے ساون میں

بارشوں کا مزاج پھیکا ہے

یہ تو بس دل ہی جانتا ہے مرا

میں نے کس دل سے تجھ کو چھوڑا ہے

کل ہوا تھا گزر یہاں اس کا

شہر کا پانی کل سے میٹھا ہے

مجھ کو دنیا سمجھ میں کیا آتی

ایک ہی شخص کو جو سوچا ہے

خود سے بنتی نہیں کبھی اقراؔ

جانے کس بات کا یہ جھگڑا ہے

اقرا عافیہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jaana Chaho To Kis Ne Roka Hai

Iqra Afiya

jaana chaho to kis ne roka hai
bin mere ji sakoge achchha hai

jab se us ne kaha KHuda-hafiz
tab se sab kuchh dhuan dhuan sa hai

aap se dhaDkanon ki raunaq hai
dil mujhe aap jaisa lagta hai

tum nahin aae milne sawan mein
barishon ka mizaj phika hai

ye to bas dil hi jaanta hai mera
main ne kis dil se tujh ko chhoDa hai

kal hua tha guzar yahan us ka
shahr ka pani kal se miTha hai

mujh ko duniya samajh mein kya aati
ek hi shaKHs ko jo socha hai

KHud se banti nahin kabhi 'iqra'
jaane kis baat ka ye jhagDa hai

(439) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jaana Chaho To Kis Ne Roka Hai written by Iqra Afiya at UrduPoint. Jaana Chaho To Kis Ne Roka Hai is one of the masterpieces written by Iqra Afiya. You can also find the complete poetry collection of Iqra Afiya by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqra Afiya' above.

Jaana Chaho To Kis Ne Roka Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jaana Chaho To Kis Ne Roka Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.