Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein, Urdu Ghazal By Ishq Aurangabadi

Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ishq Aurangabadi. Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رشتۂ دم سے جان ہے تن میں

عشق اورنگ آبادی

رشتۂ دم سے جان ہے تن میں

منکے منکے سے تیرے سمرن میں

دیدۂ دل سے دیکھتا ہوں تجھے

سوچتا ہوں جب اپنے میں من میں

گل ہے شبنم سے آہ دیدۂ تر

بن وہ گل رو کے صبح گلشن میں

کربلا کے بگولے سارے کاش

خاک اڑاتا ہوا پھروں بن میں

گوہر آب دار کے مانند

اشک غلطاں ہیں میرے دامن میں

سرو گل زار سا سہاتا ہے

وہ مرا یار گھر کے آنگن میں

اپنی صورت کو اے شہنشہ حسن

عشقؔ کے دیکھ دل کے درپن میں

عشق اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein

Ishq Aurangabadi

rishta-e-dam se jaan hai tan mein
manke manke se tere simran mein

dida-e-dil se dekhta hun tujhe
sochta hun jab apne main man mein

gul hai shabnam se aah dida-e-tar
bin wo gul-ru ke subh-e-gulshan mein

karbala ke bagule sare kash
KHak uData hua phirun ban mein

gauhar-e-ab-dar ke manind
ashk ghaltan hain mere daman mein

sarw-e-gulzar sa suhata hai
wo mera yar ghar ke aangan mein

apni surat ko ai shahansha-e-husn
'ishq' ke dekh dil ke darpan mein

(449) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein written by Ishq Aurangabadi at UrduPoint. Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein is one of the masterpieces written by Ishq Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Ishq Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ishq Aurangabadi' above.

Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rishta-e-dam Se Jaan Hai Tan Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.