Talash-e-rahbar Na KHauf-e-mazil Na Fikr Koi Hai Jism-o-jaan Ki, Urdu Ghazal By JaiKrishn Chaudhry Habeeb

Talash-e-rahbar Na KHauf-e-mazil Na Fikr Koi Hai Jism-o-jaan Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, JaiKrishn Chaudhry Habeeb. Talash-e-rahbar Na KHauf-e-mazil Na Fikr Koi Hai Jism-o-jaan Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Talash-e-rahbar Na KHauf-e-mazil Na Fikr Koi Hai Jism-o-jaan Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تلاش رہبر نہ خوف منزل نہ فکر کوئی ہے جسم و جاں کی

جے کرشن چودھری حبیب

تلاش رہبر نہ خوف منزل نہ فکر کوئی ہے جسم و جاں کی

جنوں سلامت تو کس کو پروا رہے وفا کے ہر امتحاں کی

جو تم نے دیکھا ہے مسکرا کر قدم زمانے کے رک گئے ہیں

اس اک نگاہ کرم سے پہلے کہاں تھی مجھ پر نظر جہاں کی

بیان گرچہ تھا درد دل کا مگر تھا کیف و اثر سے خالی

جو نام آیا ہے اس میں تیرا بڑھی ہے لذت بھی داستاں کی

روش پہ محو خرام ہو کر جگائے کیا کیا نہ تم نے جادو

کلی میں رنگت گلوں میں نکہت نہ زینت ایسی تھی گلستاں کی

جمال جاناں کی جلوہ گاہیں جہاں بھی جاؤں وہاں پہ پاؤں

جھکاؤں سر کو جہاں بھی اپنے وہیں پہ چوکھٹ ہے آستاں کی

کبھی نہ انساں کے دل میں جھانکا کبھی نہ کھودا خزانۂ دل

زمیں کے رخ سے ہٹائے پردے تو بات کی ہم نے آسماں کی

ضرور آئیں گی پھر بہاریں چمن میں پھر رقص و رنگ ہوگا

نہ باد‌ صر‌صر کے ہوں گے جھونکے نہ یورشیں ہوں گی پھر خزاں کی

یہ جانتا ہوں کہ اس کا مدت سے تنکا تنکا بکھر رہا ہے

نہ جانے پھر کیوں یہ یاد پیہم ہے میرے اجڑے سے آشیاں کی

جو آرزو کو حبیبؔ پختہ تو قرب و دوری کا فرق کیسا

مرے تصور نے ختم کر دی جو دوری ہم میں تھی درمیاں کی

جے کرشن چودھری حبیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Talash-e-rahbar Na KHauf-e-mazil Na Fikr Koi Hai Jism-o-jaan Ki

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

talash-e-rahbar na KHauf-e-mazil na fikr koi hai jism-o-jaan ki
junun salamat to kis ko parwa rahe wafa ke har imtihan ki

jo tum ne dekha hai muskura kar qadam zamane ke ruk gae hain
us ek nigah-e-karam se pahle kahan thi mujh par nazar jahan ki

bayan garche tha dard dil ka magar tha kaif-o-asar se KHali
jo nam aaya hai us mein tera baDhi hai lazzat bhi dastan ki

rawish pe mahw-e-KHiram ho kar jagae kya kya na tum ne jadu
kali mein rangat gulon mein nikhat na zinat aisi thi gulsitan ki

jamal-e-jaanan ki jalwa-gahen jahan bhi jaun wahan pe paun
jhukaun sar ko jahan bhi apne wahin pe chaukhaT hai aastan ki

kabhi na insan ke dil mein jhanka kabhi na khoda KHazana-e-dil
zamin ke ruKH se haTae parde to baat ki hum ne aasman ki

zarur aaengi phir bahaaren chaman mein phir raqs-o-rang hoga
na baad-e-sar-sar ke honge jhonke na yurishen hongi phir KHizan ki

ye jaanta hun ki us ka muddat se tinka tinka bikhar raha hai
na jaane phir kyon ye yaad paiham hai mere ujDe se aashiyan ki

jo aarzu ko 'habib' puKHta to qurb-o-duri ka farq kaisa
mere tasawwur ne KHatm kar di jo duri hum mein thi darmiyan ki

(479) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Talash-e-rahbar Na KHauf-e-mazil Na Fikr Koi Hai Jism-o-jaan Ki written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb at UrduPoint. Talash-e-rahbar Na KHauf-e-mazil Na Fikr Koi Hai Jism-o-jaan Ki is one of the masterpieces written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb. You can also find the complete poetry collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb' above.

Talash-e-rahbar Na KHauf-e-mazil Na Fikr Koi Hai Jism-o-jaan Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Talash-e-rahbar Na KHauf-e-mazil Na Fikr Koi Hai Jism-o-jaan Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.