Wo Jo Be-niyaz-e-jahan Kare Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai, Urdu Ghazal By JaiKrishn Chaudhry Habeeb

Wo Jo Be-niyaz-e-jahan Kare Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, JaiKrishn Chaudhry Habeeb. Wo Jo Be-niyaz-e-jahan Kare Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Jo Be-niyaz-e-jahan Kare Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ جو بے نیاز جہاں کرے مجھے اس نظر کی تلاش ہے

جے کرشن چودھری حبیب

وہ جو بے نیاز جہاں کرے مجھے اس نظر کی تلاش ہے

جو تجھے بنا دے غم آشنا مجھے اس اثر کی تلاش ہے

نہ رہے جہاں پہ پہنچ کے پھر کسی در پہ جانے کی آرزو

جہاں عشق کی بھی ہے آبرو مجھے ایسے در کی تلاش ہے

جہاں بکھری پیار کی داستاں جہاں ذرہ ذرہ ہے آستاں

وہ مری زمیں مرا آسماں اسی رہ گزر کی تلاش ہے

ہیں تجھی سے حسن کی شوخیاں ہیں تجھی سے عشق کی گرمیاں

دل زندہ تیری تلاش ہی مری عمر بھر کی تلاش ہے

وہ بھی کیا مزے کی تھی زندگی جو سفر سفر میں گزر گئی

نہیں منزلوں میں وہ دل کشی مجھے پھر سفر کی تلاش ہے

جہاں رقص میں ہو کرن کرن جہاں غنچے چٹکیں چمن چمن

نظر آئے جس میں وہ سیم تن مجھے اس سحر کی تلاش ہے

یہ تبسم ان کا تھا لٹ گیا سر راہ دل کا یہ قافلہ

وہ جو بے خبر سا چلا گیا اسی بے خبر کی تلاش ہے

جہاں درد و داغ کی جستجو جہاں نت نئی نئی آرزو

کہ جسے تلاش سکوں نہیں مجھے اس جگر کی تلاش ہے

جے کرشن چودھری حبیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Jo Be-niyaz-e-jahan Kare Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

wo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai
jo tujhe bana de gham-ashna mujhe us asar ki talash hai

na rahe jahan pe pahunch ke phir kisi dar pe jaane ki aarzu
jahan ishq ki bhi hai aabru mujhe aise dar ki talash hai

jahan bikhri pyar ki dastan jahan zarra zarra hai aastan
wo meri zamin mera aasman usi rahguzar ki talash hai

hain tujhi se husn ki shoKHiyan hain tujhi se ishq ki garmiyan
dil-e-zinda teri talash hi meri umr bhar ki talash hai

wo bhi kya maze ki thi zindagi jo safar safar mein guzar gai
nahin manzilon mein wo dil-kashi mujhe phir safar ki talash hai

jahan raqs mein ho kiran kiran jahan ghunche chaTken chaman chaman
nazar aae jis mein wo sim-tan mujhe us sahar ki talash hai

ye tabassum un ka tha luT gaya sar-e-rah dil ka ye qafila
wo jo be-KHabar sa chala gaya usi be-KHabar ki talash hai

jahan dard-o-dagh ki justuju jahan nit nai nai aarzu
ki jise talash-e-sukun nahin mujhe us jigar ki talash hai

(476) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Jo Be-niyaz-e-jahan Kare Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb at UrduPoint. Wo Jo Be-niyaz-e-jahan Kare Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai is one of the masterpieces written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb. You can also find the complete poetry collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb' above.

Wo Jo Be-niyaz-e-jahan Kare Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Jo Be-niyaz-e-jahan Kare Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.