Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عشق بتاں کا جب سے مجھے ڈھنگ آ گیا

جمیلہ خدا بخش

عشق بتاں کا جب سے مجھے ڈھنگ آ گیا

ہاتھوں سے میرے دست جنوں تنگ آ گیا

کس شوق سے یہ بزم میں کہتا ہے دل مرا

مطرب کے ساتھ بن کے یہاں چنگ آ گیا

ڈرنا عبث ہے خار مغیلاں سے اب مجھے

منزل میں عشق کے کئی فرسنگ آ گیا

جی چاہتا ہے پھینک دوں پہلو سے میں اسے

بیتابیوں سے دل کی تو میں تنگ آ گیا

منظور شیشۂ دل عاشق ہے توڑنا

جو ہاتھ میں لیے ہوئے وہ سنگ آ گیا

پامال تم نے گر دل عاشق نہیں کیا

تلووں میں کیوں نہ خون کا پھر رنگ آ گیا

کس طرح لوگ کوئے بتاں تک چلے گئے

میرے تو ہر قدم پہ وہاں سنگ آ گیا

سن کر غزل کو میری جمیلہؔ نے یہ کہا

اس میں تو صوفیانہ بھی کچھ رنگ آ گیا

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya

Jameela Khuda Bakhsh

ishq-e-butan ka jab se mujhe Dhang aa gaya
hathon se mere dast-e-junun tang aa gaya

kis shauq se ye bazm mein kahta hai dil mera
mutrib ke sath ban ke yahan chang aa gaya

Darna abas hai KHar-e-mughilan se ab mujhe
manzil mein ishq ke kai farsang aa gaya

ji chahta hai phenk dun pahlu se main use
betabiyon se dil ki to main tang aa gaya

manzur shisha-e-dil-e-ashiq hai toDna
jo hath mein liye hue wo sang aa gaya

pamal tum ne gar dil-e-ashiq nahin kiya
talwon mein kyun na KHun ka phir rang aa gaya

kis tarah log ku-e-butan tak chale gae
mere to har qadam pe wahan sang aa gaya

sun kar ghazal ko meri 'jamila' ne ye kaha
is mein to sufiyana bhi kuchh rang aa gaya

(395) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ishq-e-butan Ka Jab Se Mujhe Dhang Aa Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.