Kya KHabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Kya KHabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Kya KHabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kya KHabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا خبر تھی یار کے آتے ہی آفت آئے گی

جمیلہ خدا بخش

کیا خبر تھی یار کے آتے ہی آفت آئے گی

قامت زیبا میں پوشیدہ قیامت آئے گی

پہلوئے ویراں کو اپنے دیکھ کر کہتا ہوں میں

دل نہ ڈھونڈھوں گا یہاں ان کی ندامت آئے گی

غم نہیں مونس نہ ہو کوئی ترے بیمار کا

وادئ غربت میں اس کے ساتھ ہمت آئے گی

اس تصور میں نہ دیکھا آئینہ اس یار نے

بن کے جان مبتلا مرأت میں حیرت آئے گی

مارتے ہیں بے گنہ وہ روز اک ناشاد کو

رفتہ رفتہ ایک دن اپنی بھی نوبت آئے گی

دشمنوں نے یہ سمجھ کر بزم سے روکا مجھے

دیکھ کر شاید مجھے ان کو مروت آئے گی

میری بیتابی کی حالت سے انہیں آگہ کیا

حیف تجھ میں نامہ بر کب آدمیت آئے گی

گو غریب بے وطن ہوں بعد مردن دیکھنا

آہ و زاری کو مری تربت پہ حسرت آئے گی

ہے دم مردن تصور اے بت زیبا ترا

موت آئے گی تو بن کر تیری صورت آئے گی

اے جمیلہؔ اس دل وحشی کی حالت دیکھ کر

قیس کو فرہاد کو وامق کو عبرت آئے گی

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya KHabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi

Jameela Khuda Bakhsh

kya KHabar thi yar ke aate hi aafat aaegi
qamat-e-zeba mein poshida qayamat aaegi

pahlu-e-viran ko apne dekh kar kahta hun main
dil na DhunDhunga yahan un ki nadamat aaegi

gham nahin monis na ho koi tere bimar ka
wadi-e-ghurbat mein us ke sath himmat aaegi

is tasawwur mein na dekha aaina us yar ne
ban ke jaan-e-mubtala mirat mein hairat aaegi

marte hain be-gunah wo roz ek nashad ko
rafta rafta ek din apni bhi naubat aaegi

dushmanon ne ye samajh kar bazm se roka mujhe
dekh kar shayad mujhe un ko murawwat aaegi

meri betabi ki haalat se unhen aagah kiya
haif tujh mein nama-bar kab aadamiyat aaegi

go gharib-e-be-watan hun baad-e-murdan dekhna
aah-o-zari ko meri turbat pe hasrat aaegi

hai dam-e-murdan tasawwur ai but-e-zeba tera
maut aaegi to ban kar teri surat aaegi

ai 'jamila' is dil-e-wahshi ki haalat dekh kar
qais ko farhad ko wamiq ko ibrat aaegi

(388) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kya KHabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Kya KHabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Kya KHabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya KHabar Thi Yar Ke Aate Hi Aafat Aaegi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.