Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ممکن نہیں دوا ہے اس آزار کے لیے

جمیلہ خدا بخش

ممکن نہیں دوا ہے اس آزار کے لیے

بہتر ہے موت عاشق بیمار کے لیے

مر کر ہوا ہوں خاک در یار کے لیے

سایہ بنا ہوں میں تری دیوار کے لیے

دام بلائے ہستیٔ موہوم میں پھنسا

بہتر یہی سزا تھی گناہ گار کے لیے

کیوں کر رقیب آئیں نہ محفل میں آپ کی

ہے خار گل کے واسطے گل خار کے لیے

پا بوسیوں کے شوق میں اپنا یہ لوح دل

اک خال بن گیا قدم یار کے لیے

جلوہ دکھا دے خواب میں بہر خدا مجھے

آنکھیں ترس گئیں ترے دیدار کے لیے

بچوں کی طرح ہم نے اس آغوش ناز میں

پالا تھا دل کو تجھ سے دل آزار کے لیے

اب شیخ و برہمن مرے دامن کے تار کو

آتے ہیں لینے سبحہ و زنار کے لیے

مونس جو ایک دل تھا وہ گھل کر فراق سے

آنسو بنا ہے چشم گہر بار کے لیے

اس رخ کو دیکھتے ہی دل زار نے کہا

زیبا ہے غازہ ایسا ہی رخسار کے لیے

کیا حال دل سناؤں جمیلہؔ کہ ضعف سے

قوت زباں میں چاہیے اظہار کے لیے

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye

Jameela Khuda Bakhsh

mumkin nahin dawa hai is aazar ke liye
behtar hai maut aashiq-e-bimar ke liye

mar kar hua hun KHak dar-e-yar ke liye
saya bana hun main teri diwar ke liye

dam-e-bala-e-hasti-e-mauhum mein phansa
behtar yahi saza thi gunahgar ke liye

kyun kar raqib aaen na mahfil mein aap ki
hai KHar gul ke waste gul KHar ke liye

pa-bosiyon ke shauq mein apna ye lauh-e-dil
ek KHal ban gaya qadam-e-yar ke liye

jalwa dikha de KHwab mein bahr-e-KHuda mujhe
aankhen taras gain tere didar ke liye

bachchon ki tarah hum ne is aaghosh-e-naz mein
pala tha dil ko tujh se dil-azar ke liye

ab shaiKH-o-barahman mere daman ke tar ko
aate hain lene subha-o-zunnar ke liye

monis jo ek dil tha wo ghul kar firaq se
aansu bana hai chashm-e-guhar-bar ke liye

us ruKH ko dekhte hi dil-e-zar ne kaha
zeba hai ghaza aisa hi ruKHsar ke liye

kya haal-e-dil sunaun 'jamila' ki zoaf se
quwwat zaban mein chahiye izhaar ke liye

(486) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mumkin Nahin Dawa Hai Is Aazar Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.