Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki, Urdu Ghazal By Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کانوں کو ہے بھائی ہوئی تقریر کسی کی

جتیندر موہن سنہا رہبر

کانوں کو ہے بھائی ہوئی تقریر کسی کی

آنکھوں میں سمائی ہوئی تصویر کسی کی

کچھ عشق میں چلتی نہیں تدبیر کسی کی

سر پھوڑ جو رہ جائے ہے تقدیر کسی کی

ہر ذرے میں ہے جلوہ ہر اک قطرے میں ہے آب

ہے عرش پہ چھائی ہوئی تنویر کسی کی

انداز بتوں کے نہیں آتے ہیں نظر میں

رہتی ہے نگاہوں میں جو تصویر کسی کی

خط پڑھ کے کہیں اور بگڑ بیٹھے نہ یا رب

یاد آئی ہے ابرو دم تحریر کسی کی

یہ گریہ و زاری دل بے تاب کہاں تک

رسوا کہیں ہو جائے نہ تقصیر کسی کی

اک منتظر دید کی پتھرا گئیں آنکھیں

تاخیر کسی کی ہوئی تعزیر کسی کی

میں فخر سے کہتا ہوں مجھے تم سے ہے الفت

بڑھتی ہے ترے نام سے توقیر کسی کی

رخ پھیر مگر سر نہ ہلے دیکھ کہ ظالم

اٹکی ہے تری زلف میں تقدیر کسی کی

میہماں ہے کوئی دن کے، چلے جائیں گے رہبرؔ

بیٹھیں گے نہیں داب کے جاگیر کسی کی

جتیندر موہن سنہا رہبر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

kanon ko hai bhai hui taqrir kisi ki
aaankhon mein samai hui taswir kisi ki

kuchh ishq mein chalti nahin tadbir kisi ki
sar phoD jo rah jae hai taqdir kisi ki

har zarre mein hai jalwa har ek qatre mein hai aab
hai arsh pe chhai hui tanwir kisi ki

andaz buton ke nahin aate hain nazar mein
rahti hai nigahon mein jo taswir kisi ki

KHat paDh ke kahin aur bigaD baiThe na yarab
yaad aai hai abru dam-e-tahrir kisi ki

ye girya-o-zari dil-e-betab kahan tak
ruswa kahin ho jae na taqsir kisi ki

ek muntazir-e-did ki pathra gain aankhen
taKHir kisi ki hui tazir kisi ki

main faKHr se kahta hun mujhe tum se hai ulfat
baDhti hai tere nam se tauqir kisi ki

ruKH pher magar sar na hile dekh ki zalim
aTki hai teri zulf mein taqdir kisi ki

mehman hai koi din ke, chale jaenge 'rahbar'
baiThenge nahin dab ke jagir kisi ki

(517) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar at UrduPoint. Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki is one of the masterpieces written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. You can also find the complete poetry collection of Jitendra Mohan Sinha Rahbar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jitendra Mohan Sinha Rahbar' above.

Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kanon Ko Hai Bhai Hui Taqrir Kisi Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.