Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بلبل سنے نہ کیونکہ قفس میں چمن کی بات

جرأت قلندر بخش

بلبل سنے نہ کیونکہ قفس میں چمن کی بات

آوارۂ وطن کو لگے خوش وطن کی بات

مت پوچھ حال اپنے تو بیمار عشق کا

ہونے لگی اب اس کے تو گور و کفن کی بات

ہے موسم بہار میں با صد زباں خموش

غنچے نے کیا سنی تھی کسی کے دہن کی بات

عیش و طرب کا ذکر کروں کیا میں دوستو

مجھ غمزدہ سے پوچھئے رنج و محن کی بات

ناصح میں کیا کہوں کہ ہوا کس طرح سے چاک

دست جنوں سے پوچھو مرے پیرہن کی بات

تھا عاقل زمانہ پہ دیوانہ ہو گیا

جس شخص نے سنی مرے دیوانہ پن کی بات

سر دیجے راہ عشق میں پر منہ نہ موڑیئے

پتھر کی سی لکیر ہے یہ کوہ کن کی بات

بزم چمن بھی اس سے خجل ہے بہار میں

کیا پوچھنے ہے یار تری انجمن کی بات

یارو میں کیا کہوں کہ جلا کس طرح پتنگ

پوچھو زبان شمع سے اس کی لگن کی بات

شاید اسی کا ذکر ہو ہر رہ گزر میں میں

سنتا ہوں گوش دل سے ہر اک مرد و زن کی بات

وہ شے نہیں ہے ہم میں کہ جس سے ملے وہ یار

آتی ہے یوں تو ہم کو بھی ہر ایک فن کی بات

جرأتؔ خزاں کے آتے چمن میں رہا نہ کچھ

اک رہ گئی زباں پہ گل و یاسمن کی بات

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat

Jurat Qalandar Bakhsh

bulbul sune na kyunki qafas mein chaman ki baat
aawara-e-watan ko lage KHush watan ki baat

mat puchh haal apne tu bimar-e-ishq ka
hone lagi ab us ke to gor-o-kafan ki baat

hai mausam-e-bahaar mein ba-sad-zaban KHamosh
ghunche ne kya suni thi kisi ke dahan ki baat

aish-o-tarab ka zikr karun kya main dosto
mujh gham-zada se puchhiye ranj-o-mehan ki baat

naseh main kya kahun ki hua kis tarah se chaak
dast-e-junun se puchho mere pairahan ki baat

tha aaqil-e-zamana pa diwana ho gaya
jis shaKHs ne suni mere diwana-pan ki baat

sar dije rah-e-ishq mein par munh na moDiye
patthar ki si lakir hai ye kohkan ki baat

bazm-e-chaman bhi us se KHajil hai bahaar mein
kya puchhne hai yar teri anjuman ki baat

yaro main kya kahun ki jala kis tarah patang
puchho zaban-e-shama se us ki lagan ki baat

shayad usi ka zikr ho har rahguzar mein main
sunta hun gosh-e-dil se har ek mard-o-zan ki baat

wo shai nahin hai hum mein ki jis se mile wo yar
aati hai yun to hum ko bhi har ek fan ki baat

'jurat' KHizan ke aate chaman mein raha na kuchh
ek rah gai zaban pe gul-o-yasman ki baat

(419) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bulbul Sune Na Kyunki Qafas Mein Chaman Ki Baat, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.