Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جذبۂ عشق عجب سیر دکھاتا ہے ہمیں

جرأت قلندر بخش

جذبۂ عشق عجب سیر دکھاتا ہے ہمیں

اپنی جانب کوئی کھینچے لیے جاتا ہے ہمیں

بزم میں تکتے ہیں منہ اس کا کھڑے اور وہ شوخ

نہ اٹھاتا ہے کسی کو نہ بٹھاتا ہے ہمیں

کیا ستم ہے کہ طریق اپنا رہ عشق میں آہ

کوئی جس کو نہیں بھاتا وہ ہی بھاتا ہے ہمیں

اس ترقی میں تنزل میں ہے کہ جوں قامت طفل

آسماں عمر گھٹانے کو بڑھاتا ہے ہمیں

بند کر بیٹھے ہیں اب آنکھ جو ہم تو اللہ

نظر آتا جو نہیں سو نظر آتا ہے ہمیں

ٹھنڈے ہونے کا بھی تا سمجھیں مزا اتنے لیے

چرخ مانند چراغ آہ جلاتا ہے ہمیں

اے خوشا یہ کہ وہ ہنسنے کے لیے روتا ہے

اپنی خورسندیٔ خاطر کو کڑھاتا ہے ہمیں

مل کے ہم اس سے جو ٹک سوویں تو دکھ دینے کو

بخت بد خواب جدائی کا دکھاتا ہے ہمیں

ہم ہیں وہ مرغ گرفتار کہ اپنے پر سے

وارنا جس کو کہ ہووے وہ چھڑاتا ہے ہمیں

لا کے اس شوخ ستم گر کے دو رنگی کے پیام

نہ ہنساتا ہے کوئی اب نہ رلاتا ہے ہمیں

سن سے جا بیٹھتے ہیں اس کے تصور میں ہم آہ

بزم خوباں میں کوئی پاس بلاتا ہے ہمیں

محو نظارہ ہوں کیا ہم کہ بہ قول جرأتؔ

اپنی جانب کوئی کھینچے لیے جاتا ہے ہمیں

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein

Jurat Qalandar Bakhsh

jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamein
apni jaanib koi khinche liye jata hai hamein

bazm mein takte hain munh us ka khaDe aur wo shoKH
na uThata hai kisi ko na biThata hai hamein

kya sitam hai ki tariq apna rah-e-ishq mein aah
koi jis ko nahin bhata wo hi bhata hai hamein

is taraqqi mein tanazzul mein hai ki jun qamat-e-tifl
aasman umr ghTane ko baDhata hai hamein

band kar baiThe hain ab aankh jo hum to allah
nazar aata jo nahin so nazar aata hai hamein

ThanDe hone ka bhi ta samjhen maza itne liye
charKH manind-e-charagh aah jalata hai hamein

ai KHusha ye ki wo hansne ke liye rota hai
apni KHursandi-e-KHatir ko kuDhata hai hamein

mil ke hum us se jo Tuk sowen to dukh dene ko
baKHt-e-bad KHwab judai ka dikhata hai hamein

hum hain wo murgh-e-giraftar ki apne par se
warna jis ko ki howe wo chhuData hai hamein

la ke us shoKH-e-sitamgar ke do-rangi ke payam
na hansata hai koi ab na rulata hai hamein

san se ja baiThte hain us ke tasawwur mein hum aah
bazm-e-KHuban mein koi pas bulata hai hamein

mahw-e-nazzara hon kya hum ki ba-qaul-e-'jurat'
apni jaanib koi khinche liye jata hai hamein

(463) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.