Madari Zaban, Urdu Nazam By Kaif Ahmed Siddiqui

Madari Zaban is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Kaif Ahmed Siddiqui. Madari Zaban comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Madari Zaban on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مادری زبان

کیف احمد صدیقی

آغوش والدہ میں پالا تھا ہم کو جس نے

اک پیکر ادب میں ڈھالا تھا ہم کو جس نے

جس نے ہے ابتدا سے ہر زندگی سنواری

وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری

بچپن میں جس نے میٹھی لوری سنائی ہم کو

جس کے طفیل جھولے میں نیند آئی ہم کو

رس گھولتی ہے جس کی آواز پیاری پیاری

وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری

جس کی مدد سے ہم نے اپنی زبان کھولی

جس میں سما گئی ہے سارے جہاں کی بولی

جس کی ہر اک صفت ہے سو خوبیوں پہ بھاری

وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری

جس سے مٹا جہالت کی رات کا اندھیرا

ہندوستاں میں چمکا تہذیب کا سویرا

ہے جس کی روشنی کا ہر گھر میں فیض جاری

وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری

وہ کرشنؔ ہوں کہ بیدیؔ چکبستؔ ہوں کہ طالبؔ

محرومؔ ہوں کہ حالیؔ اقبالؔ ہوں کہ غالبؔ

صدیوں ہر اہل مذہب جس کا رہا پجاری

وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری

جس نے خلوص دل سے اے کیفؔ سب کو پالا

جس کا ہر ایک گھر میں اب بھی ہے بول بالا

دشمن کے بھی دلوں پر ہے جس کا خوف طاری

وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری

کیف احمد صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Madari Zaban

Kaif Ahmed Siddiqui

aaghosh-e-walida mein pala tha hum ko jis ne
ek paikar-e-adab mein Dhaala tha hum ko jis ne
jis ne hai ibtida se har zindagi sanwari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
bachpan mein jis ne miThi lori sunai hum ko
jis ke tufail jhule mein nind aai hum ko
ras gholti hai jis ki aawaz pyari pyari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
jis ki madad se hum ne apni zaban kholi
jis mein sama gai hai sare jahan ki boli
jis ki har ek sifat hai sau KHubiyon pe bhaari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
jis se miTa jahaalat ki raat ka andhera
hindostan mein chamka tahzib ka sawera
hai jis ki raushni ka har ghar mein faiz jari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
wo 'krishn' hon ki 'bedi' 'chakbast' hon ki 'talib'
'mahrum' hon ki 'haali' 'iqbaal' hon ki 'ghaalib'
sadiyon har ahl-e-mazhab jis ka raha pujari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
jis ne KHulus-e-dil se ai 'kaif' sab ko pala
jis ka har ek ghar mein ab bhi hai bol-baala
dushman ke bhi dilon par hai jis ka KHauf tari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari

(634) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Madari Zaban written by Kaif Ahmed Siddiqui at UrduPoint. Madari Zaban is one of the masterpieces written by Kaif Ahmed Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Kaif Ahmed Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kaif Ahmed Siddiqui' above.

Madari Zaban is a widely read Urdu Nazam. If you like Madari Zaban, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.