Chaman Walon Se Barq-e-be-aman Kuchh Aur Kahti Hai, Urdu Ghazal By Kaif Moradaabadi

Chaman Walon Se Barq-e-be-aman Kuchh Aur Kahti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kaif Moradaabadi. Chaman Walon Se Barq-e-be-aman Kuchh Aur Kahti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chaman Walon Se Barq-e-be-aman Kuchh Aur Kahti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چمن والوں سے برق بے اماں کچھ اور کہتی ہے

کیف مرادآبادی

چمن والوں سے برق بے اماں کچھ اور کہتی ہے

مگر میری تو شاخ آشیاں کچھ اور کہتی ہے

نظر میں اس کی یوں تو سب کی ہی رفتار ہے لیکن

مرے قدموں سے گرد کارواں کچھ اور کہتی ہے

یہاں کا ذرہ ذرہ محشر غم ہے حقیقت میں

بظاہر رونق بزم جہاں کچھ اور کہتی ہے

ہے ان کی ہی نظر آئینۂ دیر و حرم لیکن

یہاں کچھ اور کہتی ہے وہاں کچھ اور کہتی ہے

کسی دن ساتھ چھٹ جانے کا خطرہ ہے اسے شاید

ترے غم سے میری عمر رواں کچھ اور کہتی ہے

یہی تم کو یقیں کیوں ہے کہ کوئی التجا ہوگی

سنو تو میری چشم خونفشاں کچھ اور کہتی ہے

مجھے اپنی صداقت پر بھی شک ہے اس زمانے میں

کہ دل کچھ اور کہتا ہے زباں کچھ اور کہتی ہے

جہاں میں گو نہیں آثار کچھ ایسے قیامت کے

مگر گمراہیٔ اہل جہاں کچھ اور کہتی ہے

کبھی کیفؔ اس کا لوہا مانتے تھے لکھنؤ والے

مگر اب اہل دہلی کی زباں کچھ اور کہتی ہے

کیف مرادآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chaman Walon Se Barq-e-be-aman Kuchh Aur Kahti Hai

Kaif Moradaabadi

chaman walon se barq-e-be-aman kuchh aur kahti hai
magar meri to shaKH-e-ashiyan kuchh aur kahti hai

nazar mein us ki yun to sab ki hi raftar hai lekin
mere qadmon se gard-e-karwan kuchh aur kahti hai

yahan ka zarra zarra mahshar-e-gham hai haqiqat mein
ba-zahir raunaq-e-bazm-e-jahan kuchh aur kahti hai

hai un ki hi nazar aaina-e-dair-o-haram lekin
yahan kuchh aur kahti hai wahan kuchh aur kahti hai

kisi din sath chhuT jaane ka KHatra hai use shayad
tere gham se meri umr-e-rawan kuchh aur kahti hai

yahi tum ko yaqin kyon hai ki koi iltija hogi
suno to meri chashm-e-KHunfishan kuchh aur kahti hai

mujhe apni sadaqat par bhi shak hai is zamane mein
ki dil kuchh aur kahta hai zaban kuchh aur kahti hai

jahan mein go nahin aasar kuchh aise qayamat ke
magar gumrahi-e-ahl-e-jahan kuchh aur kahti hai

kabhi 'kaif' is ka loha mante the lucknow wale
magar ab ahl-e-dehli ki zaban kuchh aur kahti hai

(432) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chaman Walon Se Barq-e-be-aman Kuchh Aur Kahti Hai written by Kaif Moradaabadi at UrduPoint. Chaman Walon Se Barq-e-be-aman Kuchh Aur Kahti Hai is one of the masterpieces written by Kaif Moradaabadi. You can also find the complete poetry collection of Kaif Moradaabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kaif Moradaabadi' above.

Chaman Walon Se Barq-e-be-aman Kuchh Aur Kahti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chaman Walon Se Barq-e-be-aman Kuchh Aur Kahti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.