Kabhi Giryan Kabhi KHandan Kabhi Hairan Hun Main, Urdu Ghazal By Kaif Moradaabadi

Kabhi Giryan Kabhi KHandan Kabhi Hairan Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kaif Moradaabadi. Kabhi Giryan Kabhi KHandan Kabhi Hairan Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kabhi Giryan Kabhi KHandan Kabhi Hairan Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کبھی گریاں کبھی خنداں کبھی حیراں ہوں میں

کیف مرادآبادی

کبھی گریاں کبھی خنداں کبھی حیراں ہوں میں

مختصر ہے مری روداد کہ انساں ہوں میں

صحن گلشن سے مری خاک نشیمن نہ اڑا

اے صبا محرم اسرار گلستاں ہوں میں

یوں مجھے دل سے فراموش کئے بیٹھے ہیں

جیسے ان کا ہی کوئی خواب پریشاں ہوں میں

دے کے غم آپ نے تکمیل جنوں بھی تو نہ کی

سوچئے کب سے یوں ہی چاک گریباں ہوں میں

بزم کونین میں اب تک مہ و خورشید سہی

ان کی محفل میں چراغ تہ داماں ہوں میں

دل کو امید کرم رکھتی ہے مضطر یعنی

یہ بھی اک حسن طلب ہے کہ پریشاں ہوں میں

مجھ کو شرمندہ نہ کر مجھ سے اک آنسو بھی نہ مانگ

اے غم دوست بہت بے سر و ساماں ہوں میں

یہ مرا حال ہے نالہ بھی نہیں کر سکتا

اور مرا ظرف بھی دیکھو کہ غزل خواں ہوں میں

کیفؔ اس حال میں ہیں آج کل انساں کہ مجھے

شرم آتی ہے یہ کہتے ہوئے انساں ہوں میں

کیف مرادآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabhi Giryan Kabhi KHandan Kabhi Hairan Hun Main

Kaif Moradaabadi

kabhi giryan kabhi KHandan kabhi hairan hun main
muKHtasar hai meri rudad ki insan hun main

sehn-e-gulshan se meri KHak-e-nasheman na uDa
ai saba mahram-e-asrar-e-gulistan hun main

yun mujhe dil se faramosh kiye baiThe hain
jaise un ka hi koi KHwab-e-pareshan hun main

de ke gham aap ne takmil-e-junun bhi to na ki
sochiye kab se yun hi chaak-e-gareban hun main

bazm-e-kaunain mein ab tak mah-o-KHurshid sahi
un ki mahfil mein charagh-e-tah-e-daman hun main

dil ko ummid-e-karam rakhti hai muztar yani
ye bhi ek husn-e-talab hai ki pareshan hun main

mujh ko sharminda na kar mujh se ek aansu bhi na mang
ai gham-e-dost bahut be-sar-o-saman hun main

ye mera haal hai nala bhi nahin kar sakta
aur mera zarf bhi dekho ki ghazal-KHwan hun main

'kaif' is haal mein hain aaj-kal insan ki mujhe
sharm aati hai ye kahte hue insan hun main

(423) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kabhi Giryan Kabhi KHandan Kabhi Hairan Hun Main written by Kaif Moradaabadi at UrduPoint. Kabhi Giryan Kabhi KHandan Kabhi Hairan Hun Main is one of the masterpieces written by Kaif Moradaabadi. You can also find the complete poetry collection of Kaif Moradaabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kaif Moradaabadi' above.

Kabhi Giryan Kabhi KHandan Kabhi Hairan Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabhi Giryan Kabhi KHandan Kabhi Hairan Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.