Hawa Ab Chal PaDi Hai, Urdu Nazam By Kamran Nafees

Hawa Ab Chal PaDi Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Kamran Nafees. Hawa Ab Chal PaDi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Hawa Ab Chal PaDi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوا اب چل پڑی ہے

کامران نفیس

سلطنت کے زنگ خوردہ آہنی محبس میں اک خلقت چھپی ہے

بیڑیوں اور بیڑیوں سے ایڑیوں پر پڑنے والے زخم کی عادی

یہ اک بیمار خلقت

آہنی کنٹوپ سے سر کو ڈھکے

محبس کی دیواروں پہ اپنے ناخنوں سے

آڑی ٹیڑھی ترچھی لکیریں کھرچتی

شاہ کی توصیف میں غلطاں

رضا رغبت سے شد و مد سے مصروف عمل ہے

اور اگر تازہ ہوا کا کوئی جھونکا

جب کبھی محبس میں در آئے

تو یہ خلقت بلکتی سرسراتی سی مری آواز میں

سرگوشیوں میں

مخبری کرتی ہے ان تازہ ہواؤں کی

پس زنداں سپاہی

زنگ خوردہ آہنی محبس کی دیواروں سے

اپنے کان جوڑے مخبری کے منتظر

تازہ ہوا کے نرم جھونکے کی گرفتاری رقم کرنے کو بس تیار بیٹھے ہیں

خبر دے دو

ہوا کو قید کرنا اس قدر آساں نہیں ہے

یہ اگر چلتی ہے تو

کوہ گراں کو کاٹ دیتی ہے

کسی دیمک زدہ بوڑھے شجر کو

اس کی جڑ سے ہی اٹھا کر پھینک دیتی ہے

ہوا طوفان بن جائے تو سب کچھ ہی خس و خاشاک کرتی ہے

خبر دے دو

ہوا اب چل پڑی ہے

سلطنت کے آہنی محبس کے قیدی

مخبری کرنے میں پیچھے رہ گئے ہیں

اور گرفتاری کے خواہش مند

وہ سارے سپاہی تھک چکے ہیں

آہنی محبس کی دیواروں میں رخنے ہو چکے ہیں

اور ہوا سرگوشیوں سے

تیز تر اطراف میں حد نظر تک

اب مسلسل پھیلتی ہی جا رہی ہے

.

یہ خبر دے دو

ہوا کو قید کرنا اس قدر آساں نہیں ہے

ہوا اب چل پڑی ہے

کامران نفیس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hawa Ab Chal PaDi Hai

Kamran Nafees

saltanat ke zang-KHurda aahani mahbas mein ek KHilqat chhupi hai
beDiyon aur beDiyon se eDiyon par paDne wale zaKHm ki aadi
ye ek bimar KHilqat
aahani kanTop se sar ko Dhake
mahbas ki diwaron pe apne naKHunon se
aaDi TeDhi tirchhi lakiren khurachti
shah ki tausif mein ghaltan
raza raghbat se shadd-o-mad se masruf-e-amal hai
aur agar taza hawa ka koi jhonka
jab kabhi mahbas mein dar aae
to ye KHilqat bilakti sarsaraati si mari aawaz mein
sargoshiyon mein
muKHbiri karti hai in taza hawaon ki
pas-e-zindan sipahi
zang-KHurda aahani mahbas ki diwaron se
apne kan joDe muKHbiri ke muntazir
taza hawa ke narm jhonke ki giraftari raqam karne ko bas tayyar baiThe hain

KHabar de do
hawa ko qaid karna is qadar aasan nahin hai
ye agar chalti hai to
koh-e-giran ko kaT deti hai
kisi dimak-zada buDhe shajar ko
us ki jaD se hi uTha kar phenk deti hai
hawa tufan ban jae to sab kuchh hi KHas-o-KHashak karti hai

KHabar de do
hawa ab chal paDi hai
saltanat ke aahani mahbas ke qaidi
muKHbiri karne mein pichhe rah gae hain
aur giraftari ke KHwahish-mand
wo sare sipahi thak chuke hain
aahani mahbas ki diwaron mein raKHne ho chuke hain
aur hawa sargoshiyon se
tez-tar atraf mein had-e-nazar tak
ab musalsal phailti hi ja rahi hai

ye KHabar de do
hawa ko qaid karna is qadar aasan nahin hai

hawa ab chal paDi hai

(540) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hawa Ab Chal PaDi Hai written by Kamran Nafees at UrduPoint. Hawa Ab Chal PaDi Hai is one of the masterpieces written by Kamran Nafees. You can also find the complete poetry collection of Kamran Nafees by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kamran Nafees' above.

Hawa Ab Chal PaDi Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Hawa Ab Chal PaDi Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.