Mohabbat Ki Alamat Ho Gai Hai, Urdu Ghazal By Khalid Fatehpuri

Mohabbat Ki Alamat Ho Gai Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khalid Fatehpuri. Mohabbat Ki Alamat Ho Gai Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbat Ki Alamat Ho Gai Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت کی علامت ہو گئی ہے

خالد فتح پوری

محبت کی علامت ہو گئی ہے

یہ کس بے کس کی رحلت ہو گئی ہے

کوئی مقصد نہیں ہے زندگی کا

ہمیں جینے کی عادت ہو گئی ہے

ابھی تک کیوں یہ پتے ٹوٹتے ہیں

ہوا تو کب کی رخصت ہو گئی ہے

کوئی طاقت دبا سکتی نہیں اب

کہ ذہنوں میں بغاوت ہو گئی ہے

جسے میں قتل کر کے خوش ہوا تھا

ہر آئینہ وہ صورت ہو گئی ہے

گریباں میں عبث کیوں جھانکتے ہو

تمہیں کیسی یہ وحشت ہو گئی ہے

عبادت اک ضرورت سے تھی پہلے

ضرورت اب عبادت ہو گئی ہے

نہیں ہے دھیان اپنی زندگی کا

کہ اب بچوں سے الفت ہو گئی ہے

ہماری زندگی ہی کیا ہے خالدؔ

عزیزوں کی امانت ہو گئی ہے

خالد فتح پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Ki Alamat Ho Gai Hai

Khalid Fatehpuri

mohabbat ki alamat ho gai hai
ye kis be-kas ki rehlat ho gai hai

koi maqsad nahin hai zindagi ka
hamein jine ki aadat ho gai hai

abhi tak kyun ye patte TuTte hain
hawa to kab ki ruKHsat ho gai hai

koi taqat daba sakti nahin ab
ki zehnon mein baghawat ho gai hai

jise main qatl kar ke KHush hua tha
har aaina wo surat ho gai hai

gareban mein abas kyun jhankte ho
tumhein kaisi ye wahshat ho gai hai

ibaadat ek zarurat se thi pahle
zarurat ab ibaadat ho gai hai

nahin hai dhyan apni zindagi ka
ki ab bachchon se ulfat ho gai hai

hamari zindagi hi kya hai 'KHalid'
azizon ki amanat ho gai hai

(594) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Ki Alamat Ho Gai Hai written by Khalid Fatehpuri at UrduPoint. Mohabbat Ki Alamat Ho Gai Hai is one of the masterpieces written by Khalid Fatehpuri. You can also find the complete poetry collection of Khalid Fatehpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Fatehpuri' above.

Mohabbat Ki Alamat Ho Gai Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbat Ki Alamat Ho Gai Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.