Chand Ki Fariyaad, Urdu Nazam By Khalid Irfan

Chand Ki Fariyaad is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khalid Irfan. Chand Ki Fariyaad comes under the Funny category of Urdu Nazam. You can read Chand Ki Fariyaad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چاند کی فریاد

خالد عرفان

چاند نے مجھ سے کہا اے شاعر فکر ازل

میرے بارے میں بھی لکھ دے کوئی سنجیدہ غزل

ہر تعلق توڑ رکھا ہے ہلال عید سے

تجھ کو فرصت ہی نہیں ہے مہ وشوں کی دید سے

رسم دیدار ہلال عید افسانہ ہوئی

بام پر اس دم چڑھے، جس وقت فرزانہ ہوئی

لے کے نذرانہ کمیٹی نے اجالا ہے مجھے

گر نہیں نکلا، زبردستی نکالا ہے مجھے

میں جو بے مرضی نکل آیا تو ڈانٹا ہے بہت

مولوی نے مختلف خانوں میں بانٹا ہے بہت

اس کو مت فالو کرو، اس کی طریقت ماند ہے

تم بریلی کے ہو اور یہ دیوبندی چاند ہے

یہ جو خوں آلود ہے، افغانیوں کا چاند ہے

مختلف ٹکڑوں میں پاکستانیوں کا چاند ہے

اک کراچی سے ہے نکلا اک پس لاہور ہے

سندھ کا چاند اور ہے پنجاب کا چاند اور ہے

وہ جو ہمسائے کی بیوی ہے غزالہ چاند ہے

اور اس کے ساتھ جو رہتا ہے کالا چاند ہے

شاعروں نے اپنے شعروں میں بہت پیلا مجھے

میرؔ و غالبؔ نے بھی سمجھا خاک کا ڈھیلا مجھے

شعر میں، رشک قمر لیلیٰ کو فرمانے لگے

ٹیوب لائٹ کو ہلال عید بتلانے لگے

اپنی بیوی سے کہا انتیسویں کا چاند ہو

اور پڑوسن سے کہا تم چودھویں کا چاند ہو

عام سی عورت کو مہ پارہ بنا کر رکھ دیا

چاند کو ٹوٹا ہوا تارہ بنا کر رکھ دیا

چاند پر جس دن سے انساں کے قدم پڑنے لگے

چاندنی جن سے ہو ایسے بلب کم پڑنے لگے

میں زمیں سے دور ہوں لیکن بہت نزدیک ہوں

اے زمیں والو میں تم سے دور رہ کر ٹھیک ہوں

میں زمیں پر آ گیا تو ہر بشر لے جائے گا

سب سے پہلے ٹین پرسینٹ اپنے گھر لے جائے گا

خالد عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chand Ki Fariyaad

Khalid Irfan

chand ne mujh se kaha ai shaer-e-fikr-e-azal
mere bare mein bhi likh de koi sanjida ghazal
har talluq toD rakkha hai hilal-e-id se
tujh ko fursat hi nahin hai mah-washon ki did se
rasm-e-didar-e-hilal-e-id, afsana hui
baam par us dam chaDhe, jis waqt farzana hui
le ke nazrana kameti ne ujala hai mujhe
gar nahin nikla, zabardasti nikala hai mujhe
mein jo be-marzi nikal aaya to DanTa hai bahut
maulwi ne muKHtalif KHanon mein banTa hai bahut
is ko mat follow karo, is ki tariqat mand hai
tum bareilly ke ho aur ye deobandi chand hai
ye jo KHun-alud hai, afghaniyon ka chand hai
muKHtalif TukDon mein pakistaniyon ka chand hai
ek karachi se hai nikla ek pas-e-lahore hai
sindh ka chand aur hai punjab ka chand aur hai
wo jo ham-sae ki biwi hai ghazala chand hai
aur us ke sath jo rahta hai kala chand hai
shaeron ne apne sheron mein bahut pela mujhe
'mir' o 'ghaalib' ne bhi samjha KHak ka Dhela mujhe
sher mein, rashk-e-qamar laila ko farmane lage
tube-light ko hilal-e-id batlane lage
apni biwi se kaha untiswin ka chand ho
aur paDosan se kaha tum chaudhwin ka chand ho
aam si aurat ko mah-para bana kar rakh diya
chand ko TuTa hua tara bana kar rakh diya
chand par jis din se insan ke qadam paDne lage
chandni jin se ho aaise balb kam paDne lage
main zamin se dur hun lekin bahut nazdik hun
ai zamin walo main tum se dur rah kar Thik hun
main zamin par aa gaya to har bashar le jaega
sab se pahle ten-parsenT apne ghar le jaega

(1069) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chand Ki Fariyaad written by Khalid Irfan at UrduPoint. Chand Ki Fariyaad is one of the masterpieces written by Khalid Irfan. You can also find the complete poetry collection of Khalid Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Irfan' above.

Chand Ki Fariyaad is a widely read Urdu Nazam. If you like Chand Ki Fariyaad, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Funny Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.