Karachi Ka Mawasalati Mushaira, Urdu Nazam By Khalid Irfan

Karachi Ka Mawasalati Mushaira is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khalid Irfan. Karachi Ka Mawasalati Mushaira comes under the Funny category of Urdu Nazam. You can read Karachi Ka Mawasalati Mushaira on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کراچی کا مواصلاتی مشاعرہ

خالد عرفان

اہل ادب نے پھر یہ کیا تجربہ نیا

شاعر مواصلات کی دنیا پہ چھا گیا

مریخ پر مشاعرہ کر لو کہ مون پر

ہم تو اب اپنے شعر سنائیں گے فون پر

شاعر ادھر ہے، صدر ادھر، سامعین ادھر

میں پھونک مارتا ہوں تو بجتی ہے بین ادھر

دولہا کو فاصلے پہ رکھا ہے برات سے

مطلب یہ ہے کہ دور رہو شاعرات سے

امریکہ سے غزل جو پڑھی ہم نے لہر میں

گونجی ہے اس کی داد کراچی کے شہر میں

شعروں میں آ گیا ہے جو مغرب کا رنگ خاص

محسوس ہو رہا ہے کہ شاعر ہے بے لباس

کس حال میں کلام بلاغت ہوا عطا

شاعر ہے باتھ روم میں سامع کو کیا پتا

بے شک مواصلاتی قدم انقلابی ہے

اٹکے جہاں پہ کہہ دیا فنی خرابی ہے

شاعر نے شعر عرض کیا رامپور سے

مصرعہ اٹھا دیا ہے کسی نے قصور سے

شاعر نے جب بیاض نکالی جہاز میں

گونجی ہیں ''واہ وا'' کی صدائیں حجاز میں

راکٹ کی طرح شعر گرے سامعین پر

شاعر ہے آسماں پہ تباہی زمین پر

پہلے یہ حکم تھا کہ دلائل سے شعر پڑھ

اور اب یہ کہہ رہے ہیں موبائل سے شعر پڑھ

کہتے تھے پہلے شعر کو مصرعہ اٹھا کے پڑھ

اور اب یہ کہہ رہے ہیں کہ ڈائل گھما کے پڑھ

کہنے لگے برائی کو دوزخ میں جھونک دے

مائک سے دور ہے تو ریسیور میں بھونک دے

جب داد مل رہی تھی مجھے سامعین سے

اک شعر لڑ گیا تھا کسی مہہ جبین سے

میں نے جو فاصلوں کی یہ دیوار پاٹ دی

صدر گرامی نے مری لائن ہی کاٹ دی

خالد عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karachi Ka Mawasalati Mushaira

Khalid Irfan

ahl-e-adab ne phir ye kiya tajraba naya
shaer mawasalat ki duniya pe chha gaya

mirriKH par mushaera kar lo ki moon par
hum to ab apne sher sunaenge phone par

shaer idhar hai, sadr udhar, samain udhar
main phunk marta hun to bajti hai bin udhar

dulha ko fasle pe rakha hai baraat se
matlab ye hai ki dur raho shaeraat se

America se ghazal jo paDhi hum ne lahr mein
gunji hai us ki dad karachi ke shahr mein

sheron mein aa gaya hai jo maghrib ka rang-e-KHas
mahsus ho raha hai ki shaer hai be-libas

kis haal mein kalam-e-balaghat hua ata
shaer hai bath-room mein same ko kya pata

be-shak mawasalati qadam inqilabi hai
aTke jahan pe kah diya fanni KHarabi hai

shaer ne sher arz kiya rampur se
misra uTha diya hai kisi ne qusur se

shaer ne jab bayaz nikali jahaz mein
gunji hain wah-wa ki sadaen hijaz mein

rocket ki tarah sher gire samain par
shaer hai aasman pe tabahi zamin par

pahle ye hukm tha ki dalael se sher paDh
aur ab ye kah rahe hain mobile se sher paDh

kahte the pahle sher ko misra uTha ke paDh
aur ab ye kah rahe hain ki Dael ghuma ke paDh

kahne lage burai ko dozaKH mein jhonk de
maik se dur hai to receiwer mein bhunk de

jab dad mil rahi thi mujhe samain se
ek sher laD gaya tha kisi mah-jabin se

main ne jo faslon ki ye diwar paT di
sadr-e-girami ne meri line hi kaT di

(1061) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karachi Ka Mawasalati Mushaira written by Khalid Irfan at UrduPoint. Karachi Ka Mawasalati Mushaira is one of the masterpieces written by Khalid Irfan. You can also find the complete poetry collection of Khalid Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Irfan' above.

Karachi Ka Mawasalati Mushaira is a widely read Urdu Nazam. If you like Karachi Ka Mawasalati Mushaira, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Funny Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.