Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi, Urdu Ghazal By Khalil Ur Rahman Raz

Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khalil Ur Rahman Raz. Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ نظر کی دیدہ وری رہی نہ جگر کی بے جگری رہی

خلیل الرحمٰن راز

نہ نظر کی دیدہ وری رہی نہ جگر کی بے جگری رہی

مگر اہل دعویٔ شوق سے تری برہم ناز بھری رہی

کبھی جاگ اٹھا کبھی سو گیا کبھی کھل اٹھا کبھی کھو گیا

دل مست جام جمال کو نہ خبر نہ بے خبری رہی

یہ عجب ہوس کا دیار ہے یہاں عام انا کا خمار ہے

مجھے اپنے صحرا سے پیار ہے مجھے راس دربدری رہی

نہ دل و دماغ کو ہے سکوں نہ زماں مکاں کو قرار ہے

میں سفر میں ہوں کہ حضر میں ہوں مری زندگی سفری رہی

کہیں چاند جگنو پرندہ رت کہیں رنگ دھوپ دھنک نرت

مرے دور میں دل مضطرب یہ غزل کی شیشہ گری رہی

یہاں مکر بھی ہے جدل بھی ہے یہاں بل کے ساتھ میں چھل بھی ہے

فن تیشہ گر کے کمال سے زن حیلہ گر ہی کھری رہی

یہ تبسم سر انجمن وہ عداوتوں کے دلوں میں پھن

نئے دور میں نئی نسل کی یہی شان دیدہ وری رہی

جو خدا شناس نہیں ہوا کبھی خود شناس نہ ہو سکا

وہ جو منکرین خدا ہوئے انہیں خود سے بے خبری رہی

مرے فن کے ذوق لطیف کو سند اہل ذوق کی چاہئے

مگر آج تک سر انجمن یہ طلب دھری کی دھری رہی

جو تھے طالبان علاج غم انہیں گہری نیند سلا دیا

نہ مرض رہا نہ مریض ہی یہ غضب کی چارہ گری رہی

خلیل الرحمٰن راز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi

Khalil Ur Rahman Raz

na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi
magar ahl-e-dawa-e-shauq se teri barham-e-naz bhari rahi

kabhi jag uTha kabhi so gaya kabhi khil uTha kabhi kho gaya
dil-mast jam-e-jamal ko na KHabar na be-KHabari rahi

ye ajab hawas ka dayar hai yahan aam ana ka KHumar hai
mujhe apne sahra se pyar hai mujhe ras dar-ba-dari rahi

na dil-o-dimagh ko hai sukun na zaman makan ko qarar hai
main safar mein hun ki hazar mein hun meri zindagi safari rahi

kahin chand jugnu parinda rut kahin rang dhup dhanak nirt
mere daur mein dil-e-muztarib ye ghazal ki shishagari rahi

yahan makr bhi hai jadal bhi hai yahan bal ke sath mein chhal bhi hai
fan-e-tesha-gar ke kamal se zan-e-hila-gar hi khari rahi

ye tabassum-e-sar-e-anjuman wo adawaton ke dilon mein phan
nae daur mein nai nasl ki yahi shan-e-dida-wari rahi

jo KHuda-shanas nahin hua kabhi KHud-shanas na ho saka
wo jo munkirin-e-KHuda hue unhen KHud se be-KHabari rahi

mere fan ke zauq-e-latif ko sanad ahl-e-zauq ki chahiye
magar aaj tak sar-e-anjuman ye talab dhari ki dhari rahi

jo the taliban-e-ilaj-e-gham unhen gahri nind sula diya
na maraz raha na mariz hi ye ghazab ki chaaragari rahi

(378) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi written by Khalil Ur Rahman Raz at UrduPoint. Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi is one of the masterpieces written by Khalil Ur Rahman Raz. You can also find the complete poetry collection of Khalil Ur Rahman Raz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalil Ur Rahman Raz' above.

Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Nazar Ki Dida-wari Rahi Na Jigar Ki Be-jigari Rahi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.