Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main, Urdu Ghazal By Khar Dehlavi

Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khar Dehlavi. Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہیجان میں تلاش سکوں کر رہا ہوں میں

خار دہلوی

ہیجان میں تلاش سکوں کر رہا ہوں میں

یوں اپنے غم کو اور فزوں کر رہا ہوں میں

وہ سن رہے ہیں اور تبسم ہے زیر لب

ان سے بیان حال زبوں کر رہا ہوں میں

اب اس سے بڑھ کے اور ہو وحشت کا کیا ثبوت

تالیف نسخہ ہائے جنوں کر رہا ہوں میں

اک دشمن وفا سے بڑھائی ہے رسم و راہ

خود اپنی آرزوؤں کا خوں کر رہا ہوں میں

اب وادئ جنوں میں قدم رکھ چکا ہے عشق

تشہیر داغ ہائے دروں کر رہا ہوں میں

مسحور ہو رہے ہیں وہ سن کر مرا کلام

دم ان پہ جیسے کوئی فسوں کر رہا ہوں میں

معبود ہے وہ بس مرا مطلوب ہی نہیں

سجدہ اس آستانے پہ یوں کر رہا ہوں میں

شاید کہ آب تیغ ہی آب حیات ہو

حد ادب سے خود کو بروں کر رہا ہوں میں

سینہ بھی میرا ہاتھ بھی میرے تمہیں غرض

زد کوب اپنے سینہ کو کیوں کر رہا ہوں میں

چپکے سے سہہ رہا ہوں ستم تیرے بے وفا

میری خطا تو جب ہو کہ چوں کر رہا ہوں میں

زعم خودی میں جس پہ نہ جانے کا عہد تھا

اس در پہ خارؔ سر کو نگوں کر رہا ہوں میں

خار دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main

Khar Dehlavi

haijaan mein talash-e-sukun kar raha hun main
yun apne gham ko aur fuzun kar raha hun main

wo sun rahe hain aur tabassum hai zer-e-lab
un se bayan haal-e-zabun kar raha hun main

ab is se baDh ke aur ho wahshat ka kya subut
talif nusKHa-ha-e-junun kar raha hun main

ek dushman-e-wafa se baDhai hai rasm-o-rah
KHud apni aarzuon ka KHun kar raha hun main

ab wadi-e-junun mein qadam rakh chuka hai ishq
tashhir-e-dagh-ha-e-darun kar raha hun main

mashur ho rahe hain wo sun kar mera kalam
dam un pe jaise koi fusun kar raha hun main

mabud hai wo bas mera matlub hi nahin
sajda us aastane pe yun kar raha hun main

shayad ki aab-e-tegh hi aab-e-hayat ho
hadd-e-adab se KHud ko barun kar raha hun main

sina bhi mera hath bhi mere tumhein gharaz
zad-kub apne sina ko kyun kar raha hun main

chupke se sah raha hun sitam tere bewafa
meri KHata to jab ho ki chun kar raha hun main

zoam-e-KHudi mein jis pe na jaane ka ahd tha
us dar pe 'KHar' sar ko nigun kar raha hun main

(629) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main written by Khar Dehlavi at UrduPoint. Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main is one of the masterpieces written by Khar Dehlavi. You can also find the complete poetry collection of Khar Dehlavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khar Dehlavi' above.

Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Haijaan Mein Talash-e-sukun Kar Raha Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.